Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf Dedications to Mom....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • sirf Dedications to Mom....




    yeh thread mera life activity kay leye hai


    Well i decided to make a poetry Thread where we can share poetry in da memories or in da praise of our mom,,dad (parents).

    yahan per main mom ya dad ya parents ko dedicate ki hoye poetry share karongi aur agar aap log chahye tu aap b ker saktey hain aur ye bohat khushi ki bat ho gi...









    پھول سا اُسکاچہرہ ،
    غصے سے لال تھا!
    معصوم سے ذہن میں،
    بس اک سوال تھا!
    کوئی اور میری ماں کے قریب!
    آئے کیوں !
    سینے

    سے میری ماں کو !
    کوئی لگائے کیوں
    بٹانے کو کسی سے بھی میں نہیں تیار!
    پورا کا پورا چاہیے ''ماں''،
    مجھ کو تیرا پیار !








    Maa 'n....
    tere pheloo ki wo piyari si kushboo
    mere khwaboon mein atiii ha
    tere qadmoo kii wo aahut
    jaisse....
    phoolon ki sabaa se ekhlaahut
    teri sundar haansi...
    pankhadi k lub pe shabnum ki trhaaan
    mere mathay p tere bosoon ki halwat..
    aaj bhi mjhe mehkati haa
    mere dil ki har kali
    tere ehsas se khil si jati ha
    maa 'n meri piyari maaa 'n
    teray zanoo'n p sar rakh k
    sone kii khowaish
    teray shanoo n p ghum rakh k
    ronay kii khowaish
    jaise...
    sulagti hoi besada barishoon ki khanak
    lahoo m machalti hoi besamar
    khwaishoon ki ramuq
    aey meri maa 'n
    aey meri piyarii maa 'n
    apni har aah ko surd krnay ka jnoon
    sisakti hoi har sanas ka skoon
    teri aghosh mein
    teri hii koud mein ha
    pr
    najany kuin...
    kihzan k jharokay se
    saba muskrati ha
    maa'n meri piyari maa'n..




  • #2
    Re: sirf Dedications to Mom....

    Maa...

    Raat phir khawaab main aa kar mujhse
    Meri ammi ne kuchh sawaal kiye
    Usse pahley mujhey duaa ye di
    Khuda karey ki tu sau saal jiye
    Unki aankhon main mahobbat bhi thi,
    Afsos bhi tha
    Ek aaNsu bhi tha un aankhon main
    Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha
    Mujhse poocha ki betey kaisey ho
    Koi diqqat to nahin hai tumko
    Phir kaha
    Tumko maloom hai kya
    Main badi takleef main hoon
    Jab se laiti hoon so nahin payee
    Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee
    Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain
    Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain
    Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi
    Merey samjhaney main kami thi kya
    Ya meri tarbiyat adhoori thi
    Kyon burey kaam roz kartey ho
    Kyon nahin us khuda se dartey ho
    Jisney tumko ye jaan bakshi hai
    Jisney tumko amaan bakshi hai
    Laut kar jiske paas jaana hai
    Kya usey munh nahin dikhana hai
    Kya tumhein is liye padaya tha
    Kya tumhein yehi sab sikhaya tha
    Ki apney ilm par Guroor karo
    Apney nafs ko masroor karo
    Jab bhi bolo to bas galat bolo
    Zulm dekho to lab nahi kholo
    Chorrkar deen bhool kar mazhab
    Apni auqaat note main taulo
    Sach batao ki kya ye qissa hai
    Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai
    Mujhko afsos nahin ki tu mujhey bhool gaya
    Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya
    Main to markey bhi roz marti hoon
    Main tujhey roz yaad karti hoon
    Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney
    Uskey anjaam se main darti hoon
    Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye
    Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye
    Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka
    Mujhey bhi ajr miley terey naik kaamon ka

    Comment


    • #3
      Re: sirf Dedications to Mom....


      کڈے لاڈ لڈاوے ماں
      صدقے واری جاوے ماں
      آپوں کھاوے رکھی سکھی
      مینوں ددھ پلاوے ماں
      آپوں تپ وچ سڑدی ریندی
      مینوں چھاویں پاوے ماں
      ٹھنڈ وچ سوندی گلے پاسے
      مینوں سکے پاوے ماں
      کچی نیندر ہوسی اس دی
      ستیاں ناں جگاوے ماں
      کنڈ ہو جاندی اس دی خالی
      جس دی وی مر جاوے ماں
      جے وس چلدا مرن نہ دیندی
      سو سو ترلے پاوے ماں
      پتر پاویں پیڑے ہوون
      سو سو پردے پاوے ماں
      رحمت دے کھل جان خزانے
      جدوں ھتھ اٹھاوے ماں
      جس منور رب نوں منانا
      اپنی او مناوے ماں

      Comment


      • #4
        Re: sirf Dedications to Mom....

        You filled my days with rainbow lights,
        Fairytales and sweet dream nights,
        A kiss to wipe away my tears,
        Gingerbread to ease my fears.
        You gave the gift of life to me
        And then in love, you set me free.
        I thank you for your tender care,
        For deep warm hugs and being there.
        I hope that when you think of me
        A part of you
        You'll always see.

        Comment


        • #5
          Re: sirf Dedications to Mom....

          Ek pedh jisne kabhi mujhe dhup lagne na di,
          apne aanchal mein chupa ke rakha nazar kisi ki lagne na di

          yaad ate hai bachpan ke din jab tu mujhe khilati thi,
          har bar rone par tu hi mujhe hasati thi

          Achi neend ke liye naajane kaha kaha
          se nayi loria aur kahaniya lati thi,
          ro padhta hai yeh dil yad karke woh din
          jab haatho se apne khana khilati thi

          Teri ungli pakad ke maine chalna sikha,
          teri hi aankho se yeh sansar maine dekha.
          bhagwan khud na aa ska is liye
          shayad tujhe mere liye bhej diya,

          nhi to woh bhi to hai yaha jinhe lawaris hi sansar mein chod diya.
          aaj fer teri god mein sone ko dil kare,
          tere hatho se khane ko dil bekrar hai

          Yad aa gaye woh sunhere din,
          dil aaj bhi us samay mein jane ko bekrar hai
          bas ab yadein hi reh gyi yaad karne ko,
          bachpan lot ke to aa nhi sakta,

          tujhe kitna chata hu maa
          tujhe kabhi yeh bta nhi sajkta
          mera har saans tera ehsan hai..
          jab chahe ise le lena,
          chod ke na jana kabii chahe
          meri sanse bhi mujhse le lena..

          Comment


          • #6
            Re: sirf Dedications to Mom....

            Yeh dil bhulata nahin hai muhabbatien uss ki
            pari hovey thien mujhey kitney adateoin uss ki
            yeh mera sara safar uss ki khushboon main kata
            Mujhey tu rah dekhatein thien chahitein uss ki
            ghiri hovey hoon main chehroon ki bheer main liken
            Kahin nazar nahin atein shabahitein uss ki
            main door honey lagi hoon tu aisa lagta hai
            keh chaoon jasey thien mujh per rafaqtein uss ki
            yeh kiss gali main,kiss shahir main nikal Aay
            kahan pe reh giye loogo sadaqtein uss ki
            Main barshoon main juda ho gi hoon uss se magar
            yeh mera dil mere sansien hain Amanthein uss ki...

            Comment


            • #7
              Re: sirf Dedications to Mom....



              قبر کی آغوش میں جب تھک کے سو جاتی ہے ماں
              تب کہیں جا کے زرا تھوڑا سکوں پاتی ہے ماں

              اپنے بچوں کے غم میں ایسے گھل جاتی ہے ماں
              جوان ہوتے ہوئے بھی بوڑھی نظر آتی ہے ماں

              کب ضرورت ہو بچوں کو میری اتنا سوچ کر
              جاگتی رہتی ہیں آنکھیں اور سو جاتی ہے ماں

              گھر سے جاتا ہے جب کوئی نورِ نظر
              ہاتھ میں قرآن لے کے در پہ آ جاتی ہے ماں

              چاہے ہم خوشیوں میں اسے بھول جائیں دوستو!
              جب مصیبت سر پہ آجائے تو یاد آتی ہے ماں

              جب کبھی ہم مشکل میں گِھر جاتے ہیں پردیس میں
              تسلیاں دینے ہمیں تب خواب میں آجاتی ہے ماں

              شکریہ ہو ہی نہیں سکتا کبھی اس کا ادا
              مرتے مرتے بھی دعا جینے کی دے جاتی ہے ماں

              پیار کہتے ہیں کسے اور مامتا کیا چیز ہے
              ان بچوں سے پوچھو جن کی مر جاتی ہے ماں

              Comment


              • #8
                Re: sirf Dedications to Mom....

                main apni maa ki goud main
                sar rakh ke soya karti thi
                wo pehle muj ko takti thi
                our pyar se phir thapakti thi
                khud wo jaag ke ratoon main
                muj ko sulaya karti thi
                beemar agar main ho jayon
                wo sab ko nachaya karti thi
                dawain muj ko khilati thi
                na khayon tu Daant pilati thi

                college se jab main aati thi
                din bhar ki ro-e-dad sunati thi
                wo ghor se mujh ko sunti thi
                our phir samjhaya karti thi
                qisse wo mere sun sun kar
                khabi na uktaya karti thi
                meri wo mehez maa na thi
                wo meri aik saheli thi

                nakhre main un ko dikati thi
                wo laad uthaya karti thi
                baad main muj ko hasati thi
                jab pehle rulaya karti thi
                naraz wo muj ko karti thi
                our khud hi manaya karti thi
                gusse main agar main aa jayon
                wo dheema dheema hansti thi
                gussa aaye jo un ko khabi
                tu aage se main hansti thi

                koi baat ho un ko manwani
                kehaniyan sunaya karti thi
                kehaniyan sabaq amooz aise
                jin se samjhaya karti thi

                raaton ko agar main jagyon tu
                sath wo mera dia karti thi
                jaag ke phir hum ratoon main
                qahwe piya karti thin
                khabi kehaniyan sunati thi
                khabii shari muj se sunti thi
                perodiyan ( Jokes) jab wo sunti thi
                hansti hansti na thakti thi

                masoom buhat thi maa meri
                masoom si baatin karti thi
                har bache pe apne marti thi
                our sab par jaan chirakti thi

                bas pyar si pyar ki moorat ki
                maa bi kesi Aurat thi
                wo kitni achi lagti thi
                jab duayin diya karti thi
                wo our bi pyari lagti thi
                jab gussa kiya karti thi

                wo kaise muj se larti thi
                our kaise jhagra karti thi
                par baat bi meri sunti thi
                our mashware liya karti thi

                jane ka wo hameshan kehti thi
                our ik din achanaK chali gayi
                wapis khabi na ane k liye
                our muj ko hamesha rulane k liye
                ab aati ha wo yaad buhat
                our aankhin ashk behati hain
                aanso tu beh jaate hain
                par yaad wahin reh jati ha
                __________________

                Comment


                • #9
                  Re: sirf Dedications to Mom....

                  he one word MOTHER
                  compare it with no other
                  the first word of the infant
                  tha last word of brave
                  so kind and so forgiving
                  prize her while she is living
                  for there is no truer friend
                  than a MOTHER
                  from the cradie to the grave.

                  Comment


                  • #10
                    Re: sirf Dedications to Mom....

                    mother.


                    You filled my days with rainbow lights,
                    Fairytales and sweet dream nights,
                    A kiss to wipe away my tears,
                    Gingerbread to ease my fears.
                    You gave the gift of life to me
                    And then in love, you set me free.
                    I thank you for your tender care,
                    For deep warm hugs and being there.
                    I hope that when you think of me
                    A part of you
                    You'll always see..

                    Comment


                    • #11
                      Re: sirf Dedications to Mom....

                      Payari maa mujey aapki duaa chahiye
                      aapkey anchal ki thandi hawa chahiye
                      Payari maa mujey aapki duaa chahiye

                      lori ga ga muj ko sulati hain aap
                      muskara kay swarey jagati hain aap
                      mujey wohi sawera,wohi roshni,wohi loriyan hamesha sada chahiye

                      aapki mamta kay saye main jeeta houn main
                      thaam ker hath aapka chalta houn main
                      aapkey saharey se gir ker sambhalta houn main
                      yehi sahara, yehi mamta hamesha sada chahiye

                      aapki khidmat se duniya main azmaat humari
                      aapkey paoun main hai chuppi jannat humari
                      bas ussi jannat ka chota sa kinara chahiye
                      umer bhar aap ka sahara chahiye

                      Payari maa mujey aapki duaa chahiye

                      Comment


                      • #12
                        Re: sirf Dedications to Mom....

                        Aankho me apne aansuon ko rokti hui..
                        Maa ro pari maathe ko meray choomti hui

                        Aab kitney din raho gay, mere paas tum yahan
                        thakti nahi hai mujh se wo yeh, poochti hui

                        Rehti hai jaagti who, meri neend key liye
                        Mai theek to hon… har waqt yahi sochti hui..

                        Kehti hai kaise kat-ti hai, pardes main teri
                        ankhon say behte ashqo ko poochti hui

                        Aankho main apne aansuon ko rokti hui..
                        Maa ro pari maathe ko meray choomti hui

                        Comment


                        • #13
                          Re: sirf Dedications to Mom....

                          Your Love Is So Sweet,
                          Like A Candy Treat.

                          When We Were Young,
                          You Sing Us A Lovely Song.

                          We Know We Can Trust In You,
                          Because Everything You Tell Us Are True.

                          Each Day You Teach Us Different Things,
                          Like How To Dance Or Sing.

                          You Help Us Everyday,
                          Like What You Did Yesterday.

                          You Do That Morning Till’ Night,
                          To Show Us That You’re Bright.

                          I Know You’ll Do All Those Things To Us,
                          Because You’re Our Mother, The Best!

                          Comment


                          • #14
                            Re: sirf Dedications to Mom....

                            jab umar tumhe tumhari
                            uss mod par le jaegi
                            tab dekhna tumhe yaad
                            maa ki har baat wo aayegi

                            wo baat baat bar poochna
                            ke kahin tum bhooke to nahin
                            baat dil mein hei, mujhse kaho
                            kahin mujhse roothe to nahin

                            koi aisa gham koi aisa dukh
                            bhala mujhe to tum batao beta
                            iss chand se chehre se tum
                            aansoon ko to hatao beta

                            jab tum pareshaan se hote ho
                            meri raton ki neend udh jaati hei
                            aankhon se mere, aansoon ki ladi
                            dua ban ke rab ke paas jaati hei

                            jab mein na hoon pareshaan mat hona
                            meri baton ko yaad kar ke mat rona
                            iss dunya mein kahan koi raha hei sada
                            in aankhon ko beta tum mat bhigona

                            mayoosion ke jab chaye badal hon
                            apne dil par haath rakh lena tum
                            band kar ke apni aankhon ko phir
                            ho jana meri un yadon mein ghum

                            mein janti hoon tumhari yadon mein
                            mein kabhi bhi marr nahi paongi
                            jitna bhi tum bhoolna chaho mujhe
                            mein utna hi tumhe yaad aaongi..

                            Comment


                            • #15
                              Re: sirf Dedications to Mom....

                              soya nahi hoon mujhe sula do meri maan
                              aa jaao mujhe loori suna do meri maan
                              ashk meri aankhoon main jam say gaye hain
                              kerkay dil pay jaber mujhe rula do meri maan
                              dekho kitni bay tarteeb ho gaye hay zindagi
                              bikhray hain meray baal bana do meri maan
                              aik karb say aashna rehta hoon her ghadi
                              is dard ka ahsaas mitta do meri maan
                              jal reha hoon main andekhi aag main
                              chomo mera mattha aag bujha do meri maan
                              bohat darr lagta hay mujhe duniya say
                              tum mujhe duniya say chhupa do meri maan
                              thak gaya hoon bohat duniya say ladtay ladtay
                              tum mujhe apni aaghosh main panah do meri maan

                              Comment

                              Working...
                              X