Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

shers

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • shers

    Mayray Pyar Ke Ezzat Karta
    Aik na aik roz to ruksat karta
    Mujhay ketne he mohabbat karta
    Sab rutain akay chale jate hain
    Mosamay gam bhi to hejrat karta
    Bheriye mujh ko kahan pasaktay
    Wo agar mayre hefazat karta
    Mayray lehjay may agar gurur aya tha
    Us ko haq tha k shekayat karta
    Kuch to the mayre khata warna wo kiun
    Es tarahan tark-e-rafaqat karta
    Or us say na rahe koi talab
    Bas mayray pyar ke ezzat karta


    Doon Kiya Naam Iss Jeevan Ko Main
    Doon kiya naam iss jeevan ko main
    lamhoon ki ik safar sa hai
    kabhi justaju kabhi aarzoo
    kabhi bekhabar kabhi rubaroo
    kabhi zaat aik bhanwar main hai
    lamhoon ka ik safar sa hai,
    kabhi wasal main yeh lamha katey
    kabhi hijar aik saza lagey
    tanha chalein to yeh zindagi
    jaroon ki aik subah lagey
    doon kiya naam iss jeevan ko main....
    saansoon ki aik leher si hai
    lamhoon ka aik safar sa hai.


    Thokron Se Kyon Sukoon-e-Dil Nahi
    Thokron Se Kyon Sukoon-e-dil Nahi
    Zindagi Ek Raah Hai Manzil Nahi
    Aur Tadbeerain Meri Nakaam Ker
    Main Abhi TaQdeer Ka Qail Nahi
    Aanswoon Per is Tarah Hanste Hain Log
    Jaise Gam ka Koi MustaQbil Nahi
    Apne Maazi ko Na Dohrao "Wasim"
    Sab ke Seenay Main Tumhara Dil Nahi


    Poetry
    Kudrat ke karishmon mein agar raat na hoti,
    To khwab mein unse mulaqat na hoti,
    Wo wada to kar gaye ki ayenge khwab mein,
    Mare khushi ke neend na aye to kya karen.
    Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
    Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
    Gum dene wale to har pal hai yahan,
    Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha


    Kar Nahi Sakty
    ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty
    eik lamha tery bina basar kar nahi sakty
    woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai
    yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty
    khud hath say apny usay khona hi pary ga
    yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty
    yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say
    k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty
    tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy
    ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty
    yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra
    is noor k darya par nazar kar nahi sakty
    har chand k meri aankh main aansoo hain larazty
    jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty
    ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say
    ham is liye khuda say khafa ho nahi sakty

    Tumhein Dil Se Bhulaatay Hain Tu...."

    Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,
    Dard Dil Main Jagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
    Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Janaan,
    Kahin Bhi Dil Lagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
    Teri Tasweer, Adhooray Khat Tu Jala Diey Hum Nay,
    Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
    Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
    Parenday Jab Satatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
    K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
    Falaq Par Jagmagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
    Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
    Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
    Sahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khoon Hathoon Say,
    Wafa Likh Kar Mitatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

  • #2
    Re: shers

    Assalaam-0-Alaikom:rose

    Imsaal aap nay hum sab ko dhooka diya hai....:cc:

    yeh kia sher thay:na: :tauba
    yeh tu poems hain buht saari:lpop:

    chalin acha aap ki marzi main bhi kisi ko nahin bataonbi..:shh: ....sab inhain sher hi samjhain gay:tauba

    welll achi collections hai :)..... some of them are really v v v nice
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #3
      Re: shers

      Adaab!!!!
      itnay se shers...:khi:
      Anyways bohat umdah ... very nice :phool:
      sigpic

      Comment

      Working...
      X