Kitna haseen tha mausam, ghanghor ghata chaey thi
murjhaey hoey cheroon per muskan nazar aae thi
itney haseen mausam main, bethe rahen ghar main
ye mumkin na tha,chal chelye,kartey hain,samanser ka nazara
kya thandi hawaen hain aur moojoon ka wo shoor
bephre hoei lehroon ka aana,peroon se lipat jana
pani ki ye tandak ,dil-o-jan main uter gae
goya ke rooh tak ko seerab kar gae,nouqrae reat per
paoon deye ham ne pasaar,na jane kitney reat ke,
gharoonday bana leye,aae jo ik leher sab ko baha ke le gae
badal jo garja zor se ,barish bhi aagae,rim jhim bras ke barkha
samander main sama gae, taa had-e-nigah badal
taa had-e-nigah paani jasey ke bephre lehroon pe aae nae jawani
lehroon ka madhur shor tha rooh main utter gaya
ye dil jo ghamzada tha, khusyoon se bhar gaya
aankhoon main Rabi ke jo the qatrey, barkha main mil gae
per dil main ik khushi the, tum ham se mil gae.
Poetry by:Rabia Iqbal Rabi

Comment