Assalaam-0-Alaikom:rose
Mujhay tum say mohabbat hai
Humara almiya yeh hai
Keh hum ik dosray kay qareeb say sarshar ho kar bhi
Ana or khof kay saye main omrain kaat daitay hain
Hijab e bay sabab
Yoon zindgee bhar ki pashemani main dhalta hai
Keh apnay aap say nafrat si ho jaye
Magar iqrar ka mosam nahin aata
So jab iqraar ka mosam nahin aata
To phir omeed khwabon kay dareechon per koi dastak nahin daiti
Na dasht e aarzo main aas ki barish barasti hai
Badan ka raakh main koi sharer baqi nahin bachta
Faqat
Ik raaigaaan ehsaas ki sorat gari tashkeel pati hai
Yeh ehssas e ziyaan
Chahay rag e jaaan main otar jaye
Keh aankhon main bikhar jaye

Comment