Kalam kerty nahin bolti bhi jaati hay
Teri nazar ko ye kaisee zabaan aati hay!
Teri nazar ko ye kaisee zabaan aati hay!
Kabhi kabhi mujhey pehchanti nahin wo aankh
Kabhi chiraagh se chaaron taraf jalati hay
Kabhi chiraagh se chaaron taraf jalati hay
Ajab tazaad mein palti hay teray wasl ki aas
K ik aag bujhati hay ik lagati hay
K ik aag bujhati hay ik lagati hay
Wo dekhti hay mujhey aisee mast nazron se
Meray lahoo mein koi aag sarsarati hay
Meray lahoo mein koi aag sarsarati hay
Ye chaar su ka andhera simatnay lagta hai
Kuch is terha teri aawaz jagmagaty hay
Kuch is terha teri aawaz jagmagaty hay
Umeed-e-Wasl bhi hay Amjad kaanch ki choori sii
K pehan-nay mein kaeey baar toot jatee hai
K pehan-nay mein kaeey baar toot jatee hai
Comment