Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

"Yeh rog jawaani main hi lagtay hain amma."

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • "Yeh rog jawaani main hi lagtay hain amma."

    "Yeh rog jawaani main hi lagtay hain amma."
    "ghar kiyon nahi jaati?"
    "ghar ho to jao(n)."
    "ghar chahiye?"
    "Nahi?"
    ..."to phir? woh aurat ab heraan thi, woh bheegi aankho(n) ke saath is aurat ka chehra dekhti rahi.
    "Tumhe kiya batao(n) amma kiya chahiye?"
    "tu bata to sahi." aurat ne asraar kiya.
    "Batanay se mil jayega kiya?"
    "Sab kuch batane se hi milta hai. na batane se kese milega.maangna parta hai. kehna parta hai ,minnat kerni parti hai,wajood ke naseeb main hai bhikaari hona bas zaat bhikaari nahi hosakti."
    woh sun hogai thi.aik serd leher uski reerh ki haddi main se guzergai thi.is ne sir utha ker boorhi aurat ka chehra dekha tha.
    "Wajood ke muqadder main maangna hai. "ZAAT" ka wasf dena haikoi ishq maangta hai,koi dunya aur jo yeh nahi maanga woh khuwahish ka khatam hona maangta hai."
    is ne beikhtiyaar is boorhi aurat ka haath thaam liya tha.dono haatho(n) se poori taaqat se yu(n) jese Woh gayab hojayegi.
    woh kisi nanhay bachay ki tarah us ka haath paker ker bilaknay lagi thi.
    "Us se kaho. mujhe dekhe us se kaho.mujh per nazar kare,aik baar aik lamhay ke liye, main dekhne ke qaabil nahi hoon per us se kaho mujhe dekhe use kaho mere ganday wajood per bhi aik baar apni nazar kare, use to thoker maarna nahi aata.use to dhutkaarna nahi aata. woh to faraq nahi kerta, woh to aas nahi torta."
    Is ne ab aurat ka haath chor ker us ke aagay apne haath jorr diye the.
    "Tujhe banaya hai us ne to kiya tujhe chorr dega? kabhi maa melay main bachay ki ungli chorti hai ager choot bhi jaye to bacha itna beqaraar nahi hota jitni maa hoti hai. phir Allah insaan ko kese chorr sakta hai. tujhe kese chorr sakta hai.uski nazar main jo aik baar aajata hai phir hamesha rehta hai."
    is ne aurat ke mun se aik baar phir wohi alfaaz sunay the.is ne seerhi se take lagali. aik ajeeb si thandak ise apnay hisaar main le rahi thi. buhat gehra sakoon is ke ander uterta jaraha tha is ke aansoo tham gaye the.
    "Ghar jaa, ab aur Kiya chahiye tujhe?"
    is aurat ne aik baar phir is se kaha tha.is ne gehra saans leker aankhain band kerli thin.
    "Chali jaongi amma! ab waqai aur kiya chahiye."
    Barrbaraty huwe is ne aankhain khol di thin, saamnay seerhi per koi nahi tha.woh aurat gayab hochuki thi. woh pursakoon andaaz main wahin bethi rahi is ne use talaash kerne ki koshish ki thi...........

    Shehar-e-Zaat
    Last edited by T@nHA.D!L; 20 June 2011, 15:37.
    [IMG]http://






  • #2
    Re: "Yeh rog jawaani main hi lagtay hain amma."

    buhat hi khobsurat......

    Comment


    • #3
      Re: "Yeh rog jawaani main hi lagtay hain amma."

      Thanksssssssssssss
      [IMG]http://





      Comment

      Working...
      X