apne aasuon ko nazar nahi deta
han main khud ki khabar nahi leta
chhoot jaye kisi mod pe saya agar
awaaz use main mudkar nahi deta
...
kya kafia kya radeef kya baher kya maqta
ehsaas jab hamara khud ko kadr nahi deta
saare dost teri vajah se hain roothhe hue
shayad isi vajah se unki khabar nahi leta
jo tohfa bacha kar rakha hai pichhle saal se
use is saal mera rahbar nahi leta
beemari to hume vohi purani hai
dawa phir vohi teemaardaar nahi deta
milti hai zindagi jab kabhi mujhe
apne gham ka use sabab nahi deta
aaj hum sirf pyaar me doobe rahenge
kahta hai dil zuba ko kahne nahi deta
humsafar mera vaise manta hai sabko
lamha hume koi khugawaar nahi deta
itne basabr na hue kabhi tanhaiyun se
tasavvur mera kya asar nahi deta
khuda to deta hai sabko ek humsafar
meri zindagi ko koi safar nahi deta
khush dekhke use khush hote hain hum
han main khud ki khabar nahi leta
chhoot jaye kisi mod pe saya agar
awaaz use main mudkar nahi deta
...
kya kafia kya radeef kya baher kya maqta
ehsaas jab hamara khud ko kadr nahi deta
saare dost teri vajah se hain roothhe hue
shayad isi vajah se unki khabar nahi leta
jo tohfa bacha kar rakha hai pichhle saal se
use is saal mera rahbar nahi leta
beemari to hume vohi purani hai
dawa phir vohi teemaardaar nahi deta
milti hai zindagi jab kabhi mujhe
apne gham ka use sabab nahi deta
aaj hum sirf pyaar me doobe rahenge
kahta hai dil zuba ko kahne nahi deta
humsafar mera vaise manta hai sabko
lamha hume koi khugawaar nahi deta
itne basabr na hue kabhi tanhaiyun se
tasavvur mera kya asar nahi deta
khuda to deta hai sabko ek humsafar
meri zindagi ko koi safar nahi deta
khush dekhke use khush hote hain hum
Comment