Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Maa ki Nazar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Maa ki Nazar

    Assalam O Alaikum WR WB ...



    Apnay qadmoon main day day jaga
    Apna Saya Bana lay mujay
    Apni narmi seka day mujay
    Dair jab bi hoi ghar main atay mujay
    Main nay dakha kay Maa mere soi nahi
    Maray khoon ka har ek qatra yeh khnay laga...........
    Mere Maa tum say barh kar koi nhi

    Maa! pyari Maa

    jab koi parachani mujh ko hoi
    Teray anchal talay aa kar rooi hun main
    Tere batoon ki doori ko tamay howay
    Tere anchal talay aakay sooi hun main
    AAj pir woh LOORI suna day mujay

    Maa !! pyari Maa
    Attached Files


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: Maa ki Nazar

    MAA
    MOTHER

    Zindagi mein aayi hai

    tu meri aye maa

    khushiyan ban kar

    Tum bin jeene ki sochti

    hoon to ghabra jaata hai

    mera mann

    Keise jeeya jaaye tere

    bina aye maa keise

    raha jaaye tere bina

    aye maa



    Zindagi mein aayi hai

    tu meri aye maa

    duniya ban kar tu nahin

    aye maa to mein bhi

    nahin keise jeeya jaaye

    tere bina aye maa keise

    raha jaaye tere bina aye

    maa



    Chandani ki roshani mein

    teri soorat dikhaye deta

    hai mujhe aye maa

    Jil milate huwe taaron

    mein tera chehra

    dikhaye deta hai mujhe

    aye maa tum bin mar

    jaaoongi mein keise

    jeeya jaaye tere bina

    aye maa

    Keise raha jaaye tere

    bina aye maa



    Mushkil hai tere bagheir

    jeena mushkil hai tere

    bagheir rehna tum

    bin reh nahin sakoongi

    mein keise jeeya

    jaaye tere bina aye maa

    Keise raha jaaye tere bina

    aye maa
    Attached Files


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

    Comment


    • #3
      Re: Maa ki Nazar

      Jis Main Simtay Saara Jahan
      Chota Sa Woh Eik Lafz Hai Maan
      Is Rishtay Say Sab Hain Waqif
      Per Koi Na Samjhay Kia Hai Maan
      Jis Nay Tum Ko Janam Dia
      Us Hasti Ka Naam Hai Maan
      Seenay Say Laga K Paala Kisnay
      Jis Nay Paala Woh Hai Maan
      Pyaar-O-Mohabbat Karay Har Dam
      Chahat Ka Eik Khazana Hai Maan
      Jaan Bhi Nichawar Karday Jo
      Qurbaniyon Ka Woh Samandar Hai Maan
      Qadmon Talay Hai Jannat Us K
      Itni Azeem Hoti Hai Maan
      Us Ki Azmat Un Say Poocho
      Jin K Paas Nahin Hai Maan
      Aaj Tum Jo Kuch Bhi Ho
      Hai Us K Peechay Tumhari Maan
      Badal Nahin Us Ka Duniya Bhar Main
      Eik Aisa Lazawaal Rishta Hai Maan
      Sada Rahay Salaamat Saya Us Ka
      Eik Meethi Thandhi Chaon Hai Maan
      Attached Files


      میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


      میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

      Comment


      • #4
        Re: Maa ki Nazar

        کیا تعجب کہ تری یاد مقدس ، اے ماں
        میری اشکوں سے اگر کرکے وضو آتی ہے
        ...لبِ اقدس پہ تبسم کے خزانے لے کر
        میرے غم خانے میں کس شان سے تُو آتی ہے
        Attached Files


        میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


        میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

        Comment


        • #5
          Re: Maa ki Nazar

          Jo Tumhein Pyar Karti Hai, Tum Jaisey Bhi Ho
          Kya Tum Ko Ye Pata Hai, Bhala Kon Hai Woh

          Saarey Dukh Woh Tumharey, Khud Hi Seh Jaaye Jo
          Phir Bhi Kuch Na Kahey, Arrey Kaisi Hai Woh

          Jiss Ke Dil Ki Ye Dua Hai, Aanch Tum Par Na Aaye
          Kabhi Tum Par Parrey Na, Mayoosion Ke Saaye

          Dunya Mein Na Aisa, Koi Uss Rishtey Jaisa
          Ussey Rab Ne Hai Yoon Behja, Tohfa Bana Ke Aisa

          Iss Matlabi Zamaney Mein Daikho
          Kayi Log Tum Ko Yoon Milein Gey

          Jab Gham Ho Ga To Chorr Dein Gey
          Khushiyon Mein Sang Yoon Khilein Gey

          Chaahey Jitney Bhi Tumhein Gham Hon, Ikk Wohi Hai Jo
          Tumharey Aanso-on Ko Apni, Aankhon Say Jaaye Ro

          Mairi Chotti Sii Ilteja Hai, Khush Tum Uss Ko Sada Rakhna
          Gham Tujh Say Na Miley Ussey, Itna Khayal Rakhna

          Bhala Waqt Ka Kissey Pata Hai, Ye Barra Hi Be-wafa Hai
          Uss Ko Muskurata Chorrhna, Agar Tujh Say Woh Khafa Hai

          Tumhein Lag Jaye Umar Uss Ki, Karti Hai Duayein Jo
          Ikk Maan Ke Siwa Bolo, Kon Ho Sakta Hai Woh

          Jo Tumhein Pyar Karti Hai, Tum Jaisey Bhi Ho
          Kya Tum Ko Ye Pata Hai, Bhala Kon Hai Woh !
          Attached Files


          میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


          میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

          Comment


          • #6
            Re: Maa ki Nazar

            Originally posted by mehwish afsar View Post
            کیا تعجب کہ تری یاد مقدس ، اے ماں
            میری اشکوں سے اگر کرکے وضو آتی ہے
            ...لبِ اقدس پہ تبسم کے خزانے لے کر
            میرے غم خانے میں کس شان سے تُو آتی ہے
            Lazawal haqeeqat hai
            Love your Forum, Build Your Forum (PEGHAM)


            Comment


            • #7
              Re: Maa ki Nazar

              Buhat pyara thread hai.............

              Khush rahen..........Accept 5+ reputation points for each post
              Last edited by ForumAdmin; 5 May 2011, 22:23.
              Love your Forum, Build Your Forum (PEGHAM)


              Comment


              • #8
                Re: Maa ki Nazar

                Assalam O Alaikum WR WB Bhai ...

                shukria Bhai ... AUr bhi post karoon gi sach Bhai jab qalam band ker rahe thi ro pari thi
                ALLAH PAAK hum per saya qaeem rakhay Maa ka Ameen Sumameen..
                Khush Rahain Aap Bhai ..


                میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                Comment


                • #9
                  Re: Maa ki Nazar

                  Originally posted by mehwish afsar View Post
                  Assalam O Alaikum WR WB Bhai ...

                  shukria Bhai ... AUr bhi post karoon gi sach Bhai jab qalam band ker rahe thi ro pari thi
                  ALLAH PAAK hum per saya qaeem rakhay Maa ka Ameen Sumameen..
                  Walaikum Assalaam WR WB

                  Ameen Sumameen
                  Last edited by Mr.Khan; 5 May 2011, 22:40.

                  Comment


                  • #10
                    Re: Maa ki Nazar

                    mehwish aap ki collection bahut achi hai..... mein abhi comments nahi daysakti ab bhi parh rahi hoon..... wese bhi meray pass aap kay tareef kayliye alfaaz bhi nahi ban rahe hain..... sirf itna kahon gi bahut khoob....... maa piyari maa nay tu meray aankhon se aansoo nikal ae..... mujhe ammi bahut yaad aati hai..... phone per tu baat hoti hai lakin uss ki godh mein sarr rakh kar ronay ko dil karta hai....... bahut khoob................
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: Maa ki Nazar

                      boht achi sahring hai, MAA jesi hasti ki jitni bhi tareef ki jaye kam hai.

                      mae tou sirf aik baat kehta hoon agar hum mard hazrat sirf is aik MAA k hi rutby ko samj jaei to kabhi khud ko aurto se afzal na samjein.





                      Comment


                      • #12
                        Re: Maa ki Nazar

                        W salamm.....


                        Superbb sharing........
                        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                        Comment


                        • #13
                          Re: Maa ki Nazar

                          ماں!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!ماں
                          :star1:

                          Comment


                          • #14
                            Re: Maa ki Nazar

                            w salam
                            bouhat hi achi sharing hai
                            jitni tareef ki jaye kam hai

                            Comment


                            • #15
                              Re: Maa ki Nazar

                              Asslam-o-Alikum


                              MashAllah Bohat Khoob Mehvish Acha Zouq Ha


                              Khush rehay


                              PBt
                              :(

                              Comment

                              Working...
                              X