Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

jO Tabasum Sey They gulfishaan wOhi Lab Hansi kO Tras Gye

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • jO Tabasum Sey They gulfishaan wOhi Lab Hansi kO Tras Gye

    jO Tabasum Sey They gulfishaan wOhi Lab Hansi kO Tras Gye !
    humi Shehar e Yaar e Hiyaat They humi Zindgii kO Tras Gye !

    Yeh Ajeeb Subah e Bahaar hai kOi Zindgi Ki Kiran Nahi !
    humi Khaliq e Mehr o maah They humi rOshni kO Tras Gye !

    Yeh Chaman hai Kaisa Chaman K Jahaan Tahi Damni Hi Naseeb hai !
    Yeh Bahaar Kaisi Bahaar hai K Kali Kali kO Tras Gye !

    Na Karam Na kOi Ataab hai kOi Is Adda Ka Jawaab hai ?
    Kabhi dOsti kO Tras Gaye Kabhi dushmani kO Tras Gaye !

    wOhi ManzilOn Sey Bhatak Gaye Na JunOon Key Sath jO Chal Sakey !
    jO Faraib e hOsh Main Aa Gaye Raah e Aagahi kO Tras Gaye !

    hai Ajab Naseeb Yeh Ishq Ka Wafa Mili Na Jafa Milli !
    Tere Iltafaat Ki Kya Khabar Teri Be-rUkhi kO Tras Gaye !

    Main Payam Kaafir e Ishq, Meri Ghum Rahi Bhi hai Bandagi !
    Key Fida e Ka'aba o Dair Bhi Meri Kaafri kO Tras Gaye !

    انسان کا کردار صندل کہ درخت جیسا ہونا چاہیے، جو خود پہ کلہاڑی کی ضرب کھا کر بھی کلہاڑی کو خوشبو سے مہکا دیتا ہے

  • #2
    Re: jO Tabasum Sey They gulfishaan wOhi Lab Hansi kO Tras Gye

    Originally posted by Desert Rose View Post

    Desert sab sey pehley to aap ko Pegham per tah-e-dil sey welcome aur aap ka zauq-e-shairi parh ker to lagta hai keh goya mehfil mein aik naii kiran phoot parri hai - so welcome to Pegham.

    Yeh ghazal bohat zabardast choice hai and I like it very much. But this sinlge verse upset me...

    Khaaliq, takhleeq karney waley ko kehtey hain, aur Mehr-o-Maah ki takhleeq Allah Tabarak-o-Ta'ala ka kaam hai kisi insaan key bas ki baat nahin. Yeh shair shirk ki janib ley jata hai aur aisi shairi sey ijtinaab karna chahiyey.

    Main khud aik toota'phoota shaair hoon - magar aisi shairi jismein shirk ka ehtimaal ho, woh jaiiz nahin :) Hope you'll understand my Pegham :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: jO Tabasum Sey They gulfishaan wOhi Lab Hansi kO Tras Gye

      Lajawab kar diya janab aap ne.................

      Buhat umda zouq hai aap ka ................ Umeed hai ke aap ki pasand sey mazeed lutf andoz hote rahen ge

      Accept the reputation

      Comment

      • #4

        Originally posted by Masood View Post
        Desert sab sey pehley to aap ko Pegham per tah-e-dil sey welcome aur aap ka zauq-e-shairi parh ker to lagta hai keh goya mehfil mein aik naii kiran phoot parri hai - so welcome to Pegham.

        Yeh ghazal bohat zabardast choice hai and I like it very much. But this sinlge verse upset me...

        Yeh Ajeeb Subah e Bahaar hai kOi Zindgi Ki Kiran Nahi !
        humi Khaliq e Mehr o maah They humi rOshni kO Tras Gye !

        Khaaliq, takhleeq karney waley ko kehtey hain, aur Mehr-o-Maah ki takhleeq Allah Tabarak-o-Ta'ala ka kaam hai kisi insaan key bas ki baat nahin. Yeh shair shirk ki janib ley jata hai aur aisi shairi sey ijtinaab karna chahiyey.

        Main khud aik toota'phoota shaair hoon - magar aisi shairi jismein shirk ka ehtimaal ho, woh jaiiz nahin :) Hope you'll understand my Pegham :)
        Masood bhai sab sy pehly to ap ka shukriya ada kerna chahu gi pasandedgi ka
        us k bad ye clear ker deti hun k main sahab nai sahiba hun :)
        aur tesri bat k ainda khayal rakhungi es cheez ka sach kahun to mujhy nai pata tha k es main shirk hy
        maaf kijiye ga

        wasalam :)
        انسان کا کردار صندل کہ درخت جیسا ہونا چاہیے، جو خود پہ کلہاڑی کی ضرب کھا کر بھی کلہاڑی کو خوشبو سے مہکا دیتا ہے

        Comment

        • #5
          Re: jO Tabasum Sey They gulfishaan wOhi Lab Hansi kO Tras Gye

          Originally posted by Mr.Khan View Post
          Lajawab kar diya janab aap ne.................

          Buhat umda zouq hai aap ka ................ Umeed hai ke aap ki pasand sey mazeed lutf andoz hote rahen ge

          Accept the reputation
          Bohat shukriya khan bhai :)

          Working...
          X