Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kamaal-e-zabt ko khud bhi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kamaal-e-zabt ko khud bhi

    Kamaal-e-zabt ko Khud bhi to aazamaungi
    main apne haath se us kii dulhan sajaungi

    ...supurd kar ke use chandni ke haathon
    main apane ghar ke andheron ko lauTaaungi

    Badan ke karb ko wo bhii samajh na paayegaa
    main dil mein rouun gi aankhon mein muskuraungi

    wo kyaa gaya k rafaaqat k saare lutf gaye
    main kis se ruuth sakuun gi kise manaungi

    wo ik rishtaa-e-benaam bhii nahin lekin
    main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukaungi

    bichhaa diya tha gulaabon ke saath apanaa wajuud
    wo so ke uhe to Khvaabon ki raakh uthaungi

    ab us kaa Fan to kisii aur se manasuub huaa
    main kis kii nazm akele men gun_gunaungi

    javaz doondh rahaa tha naii muhabbat ka
    wo keh raha tha ke MAIN us ko bhuul jaaungi

    sama'aton mein ghane jangalon ki saansein hain
    main ab kabhii terii aavaaz sun na paaungi


  • #2
    Re: Kamaal-e-zabt ko khud bhi

    bahot khoob,,,

    Comment


    • #3
      Re: Kamaal-e-zabt ko khud bhi

      nice sharing

      Comment


      • #4
        Re: Kamaal-e-zabt ko khud bhi

        Buhat khubsorat

        Comment

        Working...
        X