Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tribute To Ahmad Faraz

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tribute To Ahmad Faraz

    Assalam O Alaikum WR WB .....



    Mazaj hum se ziada juda na thaa uska
    jab apny taor yahi they tu kia gila uska

    wo apny zoam maiN tha be-khabar raha mujse
    usay gumaN bhe nahi maiN nahi raha uska

    ye ehl-e-dard bhe kisski duhaii dety haiN
    wo chup bhe ho to zamana hai humnawa uska

    humi ne tark-e-ta'aluq maiN pehl ki k Faraz
    woh chahta thaa magar hosla na tha uska


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: Tribute To Ahmad Faraz

    sholaa thaa jal-bujhaa hon havaayain mujhe na do
    main kab kaa jaa chukaa hon sadaayain mujhe na do

    jo zahar pii chukaa hon tumhiin ne mujhe diyaa
    ab tum to zindagii kii duaayain mujhe na do

    aisaa kahiin na ho ke palaTakar na aa sakon
    har baar duur jaa ke sadaayain mujhe na do

    kab mujh ko aiteraaf-e-muhabbat na thaa 'Faraaz'
    kab main ne ye kahaa thaa sazaayain mujhe na do


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

    Comment


    • #3
      Re: Tribute To Ahmad Faraz

      wO Gaya tO Saath Hii Ley Gya Sabhi Rang Utaar Kay Shehar Ka
      kOii Shakhs Tha Meray Shehar Mein Kisi dOor Paar Kay Shehar Ka

      Chalo kOii Dil tO Udaas Tha, ChalO kOii Aankh tO Num Rahii
      ChalO kOii Dar tO KhUla Raha Shab e InteZaar Kay Shehar Ka

      Ye jO Main Nay Tazza Ghazal Kahi, sO hAi Nazr Ehal e FiraaQ Kii
      K Na Mil Saka kOii Nama-Bar mUjhey Meray Yaar Kay Shehar Ka

      sO Matta e jAan kO Liye hOye Palat Aaye Teray Garifta Dil
      Kisay Baichtay K Milla Nahien kOii Aitbaar Kay Shehar Ka

      Meray Tarz e NaGhma Saraaii Say kOii BaGhbaan Bhi tO KhUsh Nahi
      Yeh Mera Mizaaj hAi Kya KarOn K hOn Main Bahaar Kay Shehar Ka

      Kissi Aur dAis kii Oarr kO sUna hAi Faraz Chala Gaya
      Sabhi dUkh Samait Kay Shehar Ka Sabhi Qarz Utaar Kay Shehar Ka


      میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


      میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

      Comment


      • #4
        Re: Tribute To Ahmad Faraz

        Wah g Wah, Kia bat hai Ahmed Faraz Saheb ki





        Comment


        • #5
          Re: Tribute To Ahmad Faraz

          میں نے نہیں پڑھنی

          اردو شاعری کا مزہ اس کی مادری زبان میں ہی ہے
          ۔
          Last edited by S.Athar; 12 April 2011, 09:58.
          :star1:

          Comment


          • #6
            Re: Tribute To Ahmad Faraz

            Assalam O Alaikum WR WB Baniaz Khan ...

            Bohat shukria Intikhab pasand karnay ka ..
            Khush Rahain


            میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


            میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

            Comment


            • #7
              Re: Tribute To Ahmad Faraz

              Assalam O Alaikum WR WB Ather Bhai...

              Baja farmaya aap ne kay mazah URDU Font main parhnay ka hai ....
              Per Urdu main kafi waqat lag raha tha is lian is tarhan qalam band ker dia...
              Agay aap ki khohish ko made nazar rakhoon gi...
              Shukria...
              Khush Rahain


              میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


              میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

              Comment


              • #8
                Re: Tribute To Ahmad Faraz

                bohat acha intekhab he ap ka mehwish:thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: Tribute To Ahmad Faraz

                  walikumslam wr wb.
                  bht khooob sis

                  Comment


                  • #10
                    Re: Tribute To Ahmad Faraz

                    walaikum asalam......
                    wah....buhat khoob................



                    Comment

                    Working...
                    X