Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mera Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mera Intikhab





    Chandni Raat Ho Tum Mere Pass Ho
    Tum Kaho Main Sunu Main Kahu Tum Suno

    Door Ho Dooriya Pyaar Ki Baat Ho Chandni Raat Ho
    Sardiyo Ka Wo Bheega Samaa

    Sirf Hum Tum Ho Aur Koi Na Ho Yaha
    Chandni Ki Chadar Tale

    Hum Kuch Is Tarah Mile
    Ekk Duje Ko Bas Toot Kar Pyaar Kare

    Pighalte Hum Dono K Jazbaat Ho
    Chandni Raat Ho

    Tere Chehre Ki Masoomiyat
    Khwab Hai Ye Mera Ya Hai Haqikat

    Tere Lab Se Jo Mere Lab Takraye Hai
    Behke Hai Is Kadar Fir Na Sambhal Paye Hai

    Teri Zulaf Jo Tere Kandhe Pe Laehrai Hai
    Bas Teri Hi Surat Meri Aankho Pe Chhayi Hai

    Mere Kismat Mein Hamesha Aesi Raat Ho Chandni Raat Ho
    Aankho Mein Sapne Liye

    Zindgi Ki Raaho Par Hum Chale
    Har Mushkilo Ko Hum Door Karte Chale

    Ek Haseen Aashiyaan Hum Dono Ka Ho
    Usme Hum Apne Pyaar K Rang Bhare

    Tum Jaisa Agar Humsafar Saath Ho Chandni Raat Ho
    Chandni Raat Ho Tum Mere Pass Ho

    Tum Kaho Main Sunu Main Kahu Tum Suno
    Door Ho Dooriya Pyaar Ki Baat Ho Chandni Raat Ho

    [/SIZE]
    Last edited by Mahvish Waqas; 14 February 2011, 23:43.


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: Mera Intikhab

    chand haseen lamhaat mein
    jub tum ho meray saath mein
    mera haath ho tumharay haath mein
    tapish bhi ho jazbat mein
    naa janay kyun???
    main khud ko samaitay rehti hoon
    zyada kuch nahin kehti hoon
    teray har ehsaas ko!
    aankhoN mein jazb karti hoon
    par lab sey kuch nahin kehti hoon
    lekin!!!
    jub tum naa ho meray saath mein
    to haseen khayalat mein
    main jub bhi tum sey milti hoon
    dhayroN bateiN karti hoon
    kyun k!!!
    main tum ko soch k jeeti hoon
    "main tum sey mohabbat karti hoon"


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

    Comment


    • #3
      Re: Mera Intikhab

      mera EHSAS mat cheeno!
      wo jazbe cheen lo mujh se

      jo mere ang, meri rooh, mere dil mein baste hain
      jinhen khud mein samone ke liye seene taraste hain
      wo lamhe cheen lo mujh se

      jo mere zahan ki tareekiyon mein shama roshan hai
      meri khilwat ki khusho hai, meri yadon ke gulshan hain
      wo chehre cheen lo mujh se

      jo khal-o-khad nahen ab aaiine hain meri seerat ke
      jo har pehlo se aks zofishan hain meri surat ke
      wo rishte cheen lo mujh se

      jo mere zahan-o-dil mein roshni ke beej bote hain
      jo rag rag mein laho ki chap se mansob hote hain
      wo ankhen cheen lo mujh se


      jo meri rooh ka noha hain, meri zaat ka lehja
      jahan dhalta hai aaiinon mein ehsasat ka lehja
      wo sapne cheen lo mujh se

      jo in weeran ankhon mein abhi tak jagmagate hain
      abhi tak sans lete hain, abhi tak muskurate hain
      ye sab kuch cheen lo mujh se

      magar ai zalimo! mujh se mera EHSAS mat cheeno
      talab ki aas mat cheeno

      jo mere zabt ki pehchan hai wo piyas mat cheeno
      mera ehsas mat cheeno!


      میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


      میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

      Comment


      • #4
        Re: Mera Intikhab

        Hai kuch ehsas tum ko bhi
        KY hum Ay jaa'n ye subh'o'shamm
        Kis karb'e'musalsal mein tarapty hein,


        Hein kuch yaadon ky aangary
        Jo iss dil mein sulaghty hein,

        Wo kuch beety howy lamhey
        Ghumon ky saeyon ki manid
        Apny sath chalty hein,

        Tumhary bin humein
        har raasta dushwar lagta hai
        Jinhein ishq'o'muhabat ki
        lagi hon thokrein aay jaan
        Kahan gir kar sambhalty hein,

        Hai kuch Ehsas tum ko bhi
        Tumhein ehsas kesy ho ??
        Ky musam sy bhi pehly
        LOog kuch dekhy badalty hein,

        Unhi logon mein tum bhi ho

        TUMHIEN EHSAS KESY HOO


        میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


        میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

        Comment


        • #5
          Re: Mera Intikhab

          Kya Yeh Pyaar Ka Ehsaas Hai
          Mere Dilko Ab Who Laga Raha Khaas Hai

          Gunjti Hai Har Pal Uski Aawaz Mere Kaano Mei
          Uski Boli Mei Hi Kuch Aisi Mithaas Hai

          Dilko Aisa Lag Raha Hai K
          Is Dilme Shuru Ho Raha Pyar Ka Aagaaz Hai

          Uska Deedar Kya Hua Jabse In Nazron
          Ko Aata Nahi Koi Raas Hai

          Kya Tareef Karun Uski Me Dekhte Hi Usko Aisa Lagta Hai
          Jaise Koi Pari Zamin Pe Aayi Hai Jisne Paehna Insaan Ka Libaas Hai

          Tu Meri Hai Aur Meri Hi Rahegi
          Yeh Mujme Mere Pyaar Ka Vishwaas Hai

          Kya Yeh Pyaar Ka Ehsaas Hai
          Mere Dilko Ab Who Laga Raha Khaas Hai...


          میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


          میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

          Comment


          • #6
            Re: Mera Intikhab

            Originally posted by mehwish afsar View Post
            chand haseen lamhaat mein
            jub tum ho meray saath mein
            mera haath ho tumharay haath mein
            tapish bhi ho jazbat mein
            Buhat Khubsorat sharing hai ..................

            Comment


            • #7
              Re: Mera Intikhab

              Originally posted by mehwish afsar View Post
              Kya Yeh Pyaar Ka Ehsaas Hai
              Mere Dilko Ab Who Laga Raha Khaas Hai

              Gunjti Hai Har Pal Uski Aawaz Mere Kaano Mei
              Uski Boli Mei Hi Kuch Aisi Mithaas Hai

              Dilko Aisa Lag Raha Hai K
              Is Dilme Shuru Ho Raha Pyar Ka Aagaaz Hai

              Uska Deedar Kya Hua Jabse In Nazron
              Ko Aata Nahi Koi Raas Hai

              Kya Tareef Karun Uski Me Dekhte Hi Usko Aisa Lagta Hai
              Jaise Koi Pari Zamin Pe Aayi Hai Jisne Paehna Insaan Ka Libaas Hai

              Tu Meri Hai Aur Meri Hi Rahegi
              Yeh Mujme Mere Pyaar Ka Vishwaas Hai

              Kya Yeh Pyaar Ka Ehsaas Hai
              Mere Dilko Ab Who Laga Raha Khaas Hai...
              Buhat umdaa ............... lovely ghazal

              Comment


              • #8
                Re: Mera Intikhab

                Assalaam-O-alaikum

                Kia baat hay Mehwish Asfar jee bohat hi khoobsurat intikhaab hay aap ka, sach much maza aagaya...... rag-o-jaan main muqaid hogayay yeh khoobsurat alfaaz...

                apnay riwayeti andaaz main kahoon ga "mehfil hi loot lee aap nay"

                Keep sharing, khush rahyeh

                Fi amaan ALLAH
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: Mera Intikhab

                  Assalam o Alaikum WR WB ....

                  Mohtaram Khan Sahab & Ali Sahab ....

                  Bohat shukria khush rahain


                  میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                  میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                  Comment


                  • #10
                    Re: Mera Intikhab

                    بچوں ہی سی فطرت ہے ہم اہل محبت کی



                    دن اپنے چراغوں کی مانند گزرتے ہیں
                    ہر صبح کو بجھ جانا ہر شام کو جل جانا

                    بچوں ہی سی فطرت ہے ہم اہل محبت کی
                    ضد کرنا مچل جانا پھر خود ہی سنبھل جانا


                    Last edited by Mahvish Waqas; 15 February 2011, 17:55.


                    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                    Comment


                    • #11
                      Re: Mera Intikhab

                      دل کی چوٹوں نے کبھی چین سے رہنے نہ دیا
                      جب چلی سرد ہوا، میں نے تجھے یاد کیا

                      اس کا رونا نہیں کیوں تم نے کیا دل برباد
                      اس کا غم ہے کہ بہت دیر میں برباد کیا


                      میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                      میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                      Comment


                      • #12
                        Re: Mera Intikhab

                        آہ کو چاہیے اک عمر اثر ہونے تک
                        کون جیتا ہے تری زلف کے سر ہونے تک

                        ہم نے مانا کہ تغافل نہ کرو گے لیکن
                        خاک ہو جایئں گے ہم تم کو خبر ہونے تک


                        غالب


                        میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                        میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                        Comment


                        • #13
                          Re: Mera Intikhab

                          Ahmed Faraz
                          Mujh say guraiz-paa hay to her rasta badal

                          Main sang e rah hoon to sabhi raston mein hoon


                          میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                          میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                          Comment


                          • #14
                            Re: Mera Intikhab

                            Muneer Naizi
                            Main is khayal se jata nahi Watan ki taraf

                            K mujh ko dekh k us Butt ka jee bura na ho


                            میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                            میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                            Comment


                            • #15
                              Re: Mera Intikhab

                              Muzafar warsi
                              Marham e zakham mujhy dil pe laganay ko diya

                              Main ne kuch bhi na badlay mein zamanay ko diya


                              میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                              میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                              Comment

                              Working...
                              X