jo utar ke ziinaa-e-shaam se terii chashm-e-Khush mein samaa gaye
vahii jalate bujhate se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye
ye ajeeb khel hai ishq kaa main ne aap dekhaa ye mojezaa
vo jo lafz mere gumaan mein the vo terii zubaan par aa gaye
vo jo geet tum ne sunaa nahin meri umr bhar kaa riyaaz thaa
mere dard kii thii daastaan jise tum hansi mein urraa gaye
vo charaag-e-jaan kabhi jis kii lau na kisi havaa se niguun hoi
teri bevafaai ke vaasavaa use chupake chupake bujhaa gaye
vo thaa chaand shaam-e-visaal kaa ke thaa roop tere jamaal kaa
meri rooh se merii aankh tak kisi raushani mein nahaa gaye
ye jo bandagaan-e-niyaaz hai ye tamaam hai vo lash_karii
jinhein zindagi ne aman na dii to tere huzuur mein aa gaye
teri beruKhi ke dayaar mein main havaa ke saath havaa huaa
tere aa_iine kii talaash mein mere Khvaab cheharaa ganvaa gaye
tere vaasavaaon ke fishar mein teraa sharar-e-rang ujarr gayaa
meri Khvaahishon ke Gubaar mein mere maah-o-saal-e-vafaa gaye
vo ajeeb phool se lafz the tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-Khvaab mein door tak ko_ii baaG jaise lagaa gaye
meri umr se na simat sake mere dil mein itane savaal the
tere paas jitane javaab the teri ik nigaah mein aa gaye

Comment