Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mun aangan mein shehar basa hai,

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mun aangan mein shehar basa hai,

    Mun aangan mein shehar basa hai,
    shehar mein ek dareya behta hai
    Jis mein chand sitare darpan, kabhi na totne wale bandhan
    Kaheen na bholne wali yadain, tooti phooti kuch fareyadain
    Raushan din aur jhilmil raatain
    Lafz adhooray, poori raatain
    Lehroo per umadtay jazbay behtay jayein
    Koi kahani kehtay hayein
    Haray bharay pairoo per shakhain sayoo ki zanjeer banayein
    Dareya mein aflaak nahayein
    Ander ke sab bhaid kinare khultay jayein
    Mun angan mein shehar basa hai
    Shehar mein ek darya behta hai
    Darya ki lehroo mein rastay
    Rastoo mein an dekhay sapne khile huwe hain
    Khwab, dhanak, khushbo aur chehre mile huwe hain
    Taiz hawa mein deep samay ke jale huwe hain
    Lekin shehar ke darwazay per
    Bekhwabi ke dukh sukh orhay
    Jane kis ki aas mein ankhain
    Neendoo ka pehra deti hain

    Mun aangan mein shehar basa hai,
    shehar mein ek dareya behta hai...

  • #2
    Re: Mun aangan mein shehar basa hai,

    Mun aangan mein shehar basa hai,
    shehar mein ek dareya behta hai...


    achi nazam hai :rose

    Comment

    Working...
    X