Who gaya tu sath hi lay gaya sab rang utaar key shahr ka
Koi shakhs tha meray shehr main ksi door paar kay shehr ka
Chalo koi dil tu udas tha chalo koi aankh tu nam rahi
Chalo koi dar tu khula raha shab-e-intezar kay shehr ka
Mujhay poochna na para pata meray gul uzar kay shehr ka
Yeh jo main nay taza ghazal kahi so hai nazr ahl-e-firaq ki
Keh na mil saka koi naamah bar mujhay meray yaar kay shehr ka
So mata-e-jan ko liay hoey palat aaey teray grifta dil
Meri tarz-e-naghma sarai say koi baaghban bhi tu khush na tha
Yeh mera mizaj hai kia karon keh main hon bahar kay shehr ka
Kisi aur dais ki aur ko suna hay Faraz chala gaya
Sabhi dukh samait kay shehr kay sabhi qarz utaar kay shehr ka
3
Falsafa-e-Ishq Mein Paish Aaye Sawaalon Ki Tarah
Hum Pareshaan Hi Rahey Apney Khayalon Ki Tarah
Sheesha-gar Baithey Rahey Zikr-e-Maseeha Ley Ker
Aur Ham Toot Gaye Kaanch Ke Pyaalon ki tarah
Jab Bhi Anjaam-e-Muhabbat Ne Pukaara Khud Ko
Waqt Ne Paish Kiya Hum Ko Misaalon Ki Tarah
Zikr Jab Ho Ga Mohabbat Mein Tabahi Ka Kahin
Yaad Hum Aayein Gey Duniya Ko Hawaalon Ki Tarah
Comment