Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

    Raat Ki Tanhai!!!

    Raat ki gheri khamoshi main
    chupkay se dheemay se
    sergoshi main
    koi mujh se bola
    suno!
    tum wohi ho na jo raat hotay he
    meri Ankhon mai utar aati ho
    meri aankhon mai jugnoon ki tarha
    roshan ho jati hai
    ek roshan taray ki tarha
    neendo main utar aati ho
    tum wohi ho na?
    Main boli
    haan main wohi hon
    Woh bola…bohut buri ho
    meri neenden ura ker
    khud chain se so jati ho…!!!

    Comment


    • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

      Zakham bhar jate hain
      Zehnon se utar jate hain
      Din guzarta hai to phir shab bhi guzar jati hai
      Phool jis shakh se jhar jate hain
      Chand hi roz mein
      Us shakh pe ainda ke phoolon ke nageene se ubhar aate hain
      Tere jane se meri zaat ke andar jo khala goonjta hai
      ik na ik din usse bhar jana hai
      ik na ik roz tujhe
      meri pheli hui , tarsi hui bahon mein palat ana hai !!!

      Comment


      • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

        Kabhi Tum Milne Ao Na !!

        Tumhe Mehsos Karna Hai !!

        Tumhari Zaat Mein Reh Kar !!

        Tumhara Hisa Ban na Hai !!

        Mujhe Viran Ankhon Mein !!

        Tumhari Bikhri Baaton Mein !!

        Wafa Ka Rang Bharna Hai !!

        Tumhare Phool Se Chehre Pe !!

        Udasi Ka Jo Manzar Hai !!

        Yahan Pe Apni Chahat Se !!

        Hansi Ko Naqsh Karna Hai !!

        Kabhi Tum Milne Ao Na !!

        Tumhen Mehsos Karna Hai !!

        Comment


        • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

          phir wahi kala dhuwan
          insani jano ka ziyan
          aah o faghan aur siskiyan
          dam torti insaiat ki hichkiyan

          khof ka
          dahshat ka
          wahshat ka saman
          phir se barhti talkhiyan

          woh hi zaban
          woh hi bayan
          aey khuda e maherban
          al hafeez o al amaan
          sakinan e shahar e be amaan

          akhrash jaeyn kahan ?

          Comment


          • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

            aane wale gham se kah do
            ab meri banjar ankhon men
            pani ki koi boond nahi aur
            sawan bha do rooth gaya hai

            aane wale gham se kah do
            zabt ka alam aesa hai ab
            pathar dil se takraya aur
            pathar chakna chur huwa hai

            Comment


            • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

              woh hi zaban
              woh hi bayan
              aey khuda e maherban
              al hafeez o al amaan
              sakinan e shahar e be amaan

              akhrash jaeyn kahan ?

              Comment


              • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                Ye Jantay Huye Bhi

                Ye Jantay Huye Bhi
                K
                Wo Hawa Hai Mere Hath Na Aye Ga
                Wo Badal Hai Jisay Main Choo Na Paun Ga
                Phir Bhi Main Ne
                Hawa Ko Pakarna Chaha
                Badal Ko Choona Chaha

                Comment


                • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                  Naya Saal Puranay Khowab




                  Ye Mah o Saal Tu Guzartay Chalay Jatay Hain

                  Ham Har Naye Saal Ki Aamad Per

                  Yeh Socha Karay Gaye

                  Ab Kay Baras Judaii Ka Taweel Mousam Khatam Ho Jaye Ga

                  Shayed

                  Lakin Har Guzartay Baras Ki Tarah

                  Mousam -e- Hejar Hamaray Darwaza Per

                  Dastak Day Ga

                  Ham Hanstay Aansoon Kay Saath

                  Ak Baar Phir

                  Roti Hoii Baharon Ko

                  Khush Aamdaid Kahain Gay



                  [ Perveen Shaker ]

                  Comment


                  • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                    تجھے کھویا اگر میں نے





                    میرے گزرےہوئے لمحوں سے تھی وابستگی تیری
                    میر سارے خواب تھے تیرے،میری یادیں بھی تھی تیری
                    مگر عہد وفا کا پاس تو رکھہ نہ سکا ہمدم
                    سلامت رہ سکا نہ بت تیرا دل میں میرے اس دم
                    مجھے یہ غم نہیں ہے، دل گر تنہائی میں رویا
                    تجھے کھویا اگر میں نے تو، تونے بھی مجھے کھویا
                    مجھے تسلیم ہے کہ تو۔۔!
                    کتاب زندگی کا بڑا خوبصورت باب تھا لیکن
                    تیری سنگت بڑا ہی خوبصورت خواب تھا لیکن
                    مجھے اپنی حیات نو کی تجدید کرنا ہے
                    مجھے خوابوں امیدوں کا یہ دامن چھوڑ دینا ہے
                    نئے مقصد ہیں میرے، اور نئے راستے پر چلنا ہے
                    محبت کے ان فرسودہ فسانوں میں رکھا کیا ہے
                    تجھہ کو کھو کر شعور زندگی پالوں توبرا کیا ہے

                    Comment


                    • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                      Chalo Tum Chor Do Mujh Ko....
                      Mai wapis lout jata hon....
                      Tumhen manzil mubarak ho......
                      Naaei raahen mubarak hon....
                      Magar pher aey mere hamdam....
                      Mujhe itna to btla do...?
                      K wapis kis taraf jaon...?

                      Kahan se sath laey the...?
                      Mujhy itna to smjha do...!
                      Agar aesa nhi mumkin....
                      To mujh ko es tarhan toro....
                      K mai yakser bikhar jaon....
                      Bhtakney se to behtar hai....
                      Tumhare Pass Mar Jaon....

                      Comment


                      • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                        Kabhi jo hum nahi hon gay
                        kaho kisko bato gay
                        wo apni uljhanain sari
                        wo be-cheni main doubay pal
                        wo aankhoun main chopay aanso
                        kisay pher tum dikhao gay
                        bohat be-chain ho gay tum
                        bohat tanha reh jao gay
                        abhi bhe tum nahi samjhay
                        hamari ankahi batain
                        magar jub yaad aaen ge
                        bohat tumko rulaen ge
                        bohat chaho gay pher bhe tum
                        hamain na dhoondh pao gay
                        kabhi jo hum nahi hon gay
                        kaho kis ko batao gay

                        Comment


                        • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                          میرے اندر خاموشی بولتی ہے
                          تیری ہمرہی میں بھی

                          میں وصال لمحوں کو
                          رات دن ترستی ہوں
                          اپنے دل کی سب باتیں
                          پہلے بھی تو میں اپنی
                          خِلوتوں سے کرتی تھی
                          اب بھی چادرِ شب کو
                          رازداں بناتی ہوں
                          اے میرے رفیقِ جاں
                          کیسے میں کہوں تجھ سے
                          تیری ہمرہی میں بھی
                          وصل آشنا لمحے
                          ہجر آشنا سے ہیں
                          سانس سانس میں میری
                          ایک بے بسی سی ہے
                          ( کیا عجب کمی سی ہے )
                          بیکراں سی تنہائی
                          کے یہ سلسلے آخر
                          کب تلک سنبھالوں گی؟
                          تیری ہمرہی میں بھی
                          اجنبی فضائیں ہیں
                          خود سے تیرے لہجے میں
                          گفتگو بھی کرتی ہوں
                          پر میرا ادھورا پن
                          میرے ساتھ رہتا ہے
                          ( ختم ہی نہیں ہوتا )
                          تیرے پیار کے جگنو
                          ہاتھ ہی نہیں آتے

                          Comment


                          • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                            UDAAS RAAT'",."'
                            Badan Thakan se Choor hai,
                            Par Neend Hum se Door hai,
                            Tera Kheyal sath hai,
                            Bari Udaas Raat hai,
                            Hawa-e-Gham ka zoor hai,
                            Samandron ka Shor hai,
                            Judaiyon ki baat hai,
                            Bari Udas Raat hai,
                            Har Nazar Sharab hai,
                            Tere Milne ka Khuab hai,

                            Bari Udaas Raat Hai

                            Comment


                            • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                              qatra qatra zindagi penay kai bad
                              maut se lartay howay jenay kai baad
                              aaj ik arsay baad
                              us ki ankho mai hai daika
                              us kai hatho ko hai pakra
                              us ki banhai tham li hain
                              us ki palkain chom li hain
                              us ki batein sun rahi hon
                              us kai aanso chun rahi hon
                              us kai noor se munawar
                              us ki khushbo se muatar
                              aaj phir honay kai baad
                              dil ki dharkan tham rahi hai
                              koi khwahish ab nahi hai

                              Comment


                              • Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~


                                تیری یادیں

                                رات کی جلتی تنہائی میں
                                اندھیاروں کے جال بنے تھے
                                دیواروں پہ تاریکی کی گرد جمی تھی
                                خوشبو کا احساس ہوا میں ٹوٹ رہا تھا
                                دروازے بانہیں پھیلائے اونگھ رہے تھے
                                دور سمندر پار ہوائیں بادلوں سے باتیں کرتی تھیں
                                ایسے میں ایک نیند کا جھونکا
                                لہر بنا اور گزر گیا
                                پھر آنکھ کھلی تو اس موسم کی پہلی بارش
                                اور تیری یادیں
                                دونوں مل کر ٹوٹ کے برسیں

                                Comment

                                Working...
                                X