Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~



    کیا ملا محبت سے
    خواب کی مسافت سے
    وصل کی تمازت سے
    روز و شب ریاضت سے
    کیا ملا محبت سے
    ایک ہجر کا صحرا
    ایک شام یادوں کی
    اِک تھکا ہوا آنسو

    Comment


    • #17
      Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

      Ye Jantay Huye Bhi

      Ye Jantay Huye Bhi
      K
      Wo Hawa Hai Mere Hath Na Aye Ga
      Wo Badal Hai Jisay Main Choo Na Paun Ga
      Phir Bhi Main Ne
      Hawa Ko Pakarna Chaha
      Badal Ko Choona Chaha

      Comment


      • #18
        Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

        Originally posted by life. View Post

        کہیں ایسا نا ہو کہ ان کہی کا بھید کھل جائے
        اسی خدشے میں تم مجھ سے
        میرئ تخلیق کے جوہر جدا کرتے رہے ہو
        اور میری تکمیل سےڈرتے رہے ہو
        تمہاری مصلحت کشی کی سفاکی
        مجھے تو کیا زمین و آسمان کو بانجھ کر ڈالے
        تمہاری فطرت بے مہر سے واقف بھی ہوں
        تسلیم کرتی ہوں
        مگر یہ کیا ازیت ہے
        عجب انداز وحشت ہے
        مجھے تم سے محبت ہے
        اسلام علیکم
        بہت دنوں بعد اپنا خوبصورت انتخاب شئیر کیا ہے
        بہت عمدہ انتخاب ہے جو کہ آپ کے حساس زہن کی عکاسی کرتا ہے
        اُمید ہے اب آپ روٹین ممبر بنیں گی اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین
        :star1:

        Comment


        • #19
          Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

          Originally posted by life. View Post


          کیا ملا محبت سے
          خواب کی مسافت سے
          وصل کی تمازت سے
          روز و شب ریاضت سے
          کیا ملا محبت سے
          ایک ہجر کا صحرا
          ایک شام یادوں کی
          اِک تھکا ہوا آنسو

          کیا ملا محبت سے
          بہت ہی خوبصورت انتخاب جتنی تعریف کی جائے کم ہے
          :star1:

          Comment


          • #20
            Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

            ap ki hosla afzai ka buhat shukria s.a.z.

            Comment


            • #21
              Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~


              Mujhe ehsaas hai...
              Meri mohabbat tum pe kitna bojh hai
              Mujhe ehsaas hai lekin...
              Main iss chaahat ki uss manzil pe ja pohnchi hun
              Jis se waapsi mumkin bhi ho to
              ...Marg-e-dil se uss ki qeemat dena paRti hai
              Aur gar dil hi mar jaye
              To baaqi kuch nahiN rehta
              Suno JaanaaN!
              Tumhein apni har ik jhooTi qasam ki
              Aur adhoore har ik waade ki
              Aur apni waqti chaahat ki qasam hai
              Tumhein api qasam hai
              Mere iss dil ko marne se bacha lo
              Mere dil ko...
              Mere iss dil ko marne se bacha lo...!!!

              Comment


              • #22
                Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                tum meyra dukh baant rahi ho,
                main dil main sharminda hoon,
                apny jhoty dukh se tumko,
                kab tak dukh pohnchao ga,

                tum tou wafa main sargardaa'n ho,
                shouq mein raqsaa'n rehti ho,
                mujh ko zaaval-e-shouq ka gham hai,
                main pagal ho jaon ga,

                ehed-e-rafaqat theek hay laykin,
                mujh ko aisa lagta hai,
                tum to meyry saath raho gi,
                main tanha reh jaon ga,

                shaam ko aksar bethay bethay,
                dil kuch dobnay lagta hay,
                tum mujh ko itna mat chaho,
                main shayad mar jaon ga.

                ishq kisi manzil main aa ker,
                itna bhi be fiker na ho,
                ab bistar per leyto ga main,
                leyt tay hi soo jaon ga.....

                Comment


                • #23
                  Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                  تم سے کچھ نہیں کہنا
                  تم سے کچھ نہیں کہنا


                  ہم نے سوچ رکھا ہ
                  چاہے دل کی ہر خواہش
                  زندگی کی آنکھوں سے اشک بن کے
                  بہہ جائے
                  چاہے اب مکینوں پر
                  گھر کی ساری دیواریں چھت سمیت گر جائیں
                  اور بے مقدر ہم
                  اس بدن کے ملبے میں خود ہی کیوں نہ دب جائیں
                  تم سے کچھ نہیں کہنا
                  کیسی نیند تھی اپنی،کیسے خواب تھے اپنے
                  اور اب گلابوں پر
                  نیند والی آنکھوں پر
                  نرم خو سے خوابوں پر
                  کیوں عذاب ٹوٹے ہیں
                  تم سے کچھ نہیں کہنا
                  گھر گئے ہیں راتوں میں
                  بے لباس باتوں میں
                  اس طرح کی راتوں میں
                  کب چراغ جلتے ہیں،کب عذاب ٹلتے ہیں
                  اب تو ان عذابوں سے بچ کے بھی نکلنے کا راستہ نہیں جاناں!
                  جس طرح تمہیں سچ کے لازوال لمحوں سے واسطہ نہیں جاناں!
                  ہم نے سوچ رکھا ہے
                  تم سے کچھ نہیں کہنا

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                    Tu Hi Bata E Zindagi,
                    Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
                    Ki Har Pal Marne Walon Ko,
                    Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                      Tum Ne Poocha Hey k Dukh kia Hota Hai

                      To Suno.....
                      Aisa Karna
                      Kabhi kisi ko Chahna
                      aur Chahate Hi Rehna...
                      Din Bher us ko Sochte hi Rehna....

                      Apne Haath ki Lakeeron mein us ka Naam Tarashte hi Rehna...

                      aur Jab kabhi Wo,
                      in Riyazaton ka Hisaab Mangne ke Liey,
                      samne aaey to ........

                      Tum "ANAA" ka Hath Thaam Lena.

                      Ager Wo kuch kahey to,
                      Muskura ker Anjaan Ban Jana.

                      Aur Jab Wo Mayoos Ho ker Laut Jaey to...

                      Apne Ander Jhankna,
                      aur,
                      Khud se Poochna ......

                      Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey ga,
                      Ke....

                      Dukh kisko kihtey Hain.
                      aur...
                      Dukh kia Hota Hai.

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                        zarori to nahi..
                        is Duniya Ki Bheer Mein
                        Koi Tanha Na Ho
                        Yeh Zaroori To Nahi

                        Hanstey Laboon Kay Peechay
                        Koi Siski Na Ho
                        Ye Zaroori To Nahi

                        Muskarati Aankhoon Kay Peechey
                        Koi Aansoo Na Ho
                        Ye Zaroori To Nahi

                        Ye Dil Under Say Tootey
                        Aur Chanak Bahar Bhi Sunai Day
                        Ye Zaroori To Nahi

                        Hum Under Say Jal Jaien Aur
                        Dhuaan Bahar Bhi Dekhai Day
                        Ye Zaroori To Nahi

                        Duniya Aapne Diye Huye
                        Zakhmoo Per Marham Bhi Rakdey
                        Ye Zaroori To Nahi...

                        Comment


                        • #27
                          Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                          khuwaish jeene ki nahi ati ab kabhi lab pay
                          apni marzi say yahan mout kahan milti hai

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                            Usse to mitt he jana tha...

                            Usse to mitt he jana tha...
                            December k haseen din thay

                            Murree ki yakh fizaon mein

                            Humhare chaar haathon nain

                            Mujasma ek banaya tha

                            Kaha tha ek dooje ko

                            Nishani pyar ki apni

                            Bari he khoobsoorat hai

                            Mujhe ab yaad aata hai

                            Mujasma barf ka tha wo

                            Usse aakhir pighalna tha

                            Usse to mitt he jana tha..
                            Last edited by life.; 12 September 2010, 21:40.

                            Comment


                            • #29
                              Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                              mujhey khabar hai

                              mujhey khabar hai
                              tumharee Aankho'n main jo chupa hai
                              tumharey chehrey pai jo likha hai
                              lahoo jo har aan bolta hai
                              mujhey bata do
                              aur apney dukh sey nijat pa lo

                              Comment


                              • #30
                                Re: ~..^..~ life ki Diary Sey ~..^..~

                                mousam....

                                Sardioon kay mousam main
                                Baadiloon kay daaman say
                                Jab zameen kay aangan main
                                Baarshain utarti hain
                                Aisay sard mousam main
                                Parbatoon ki uryani, Barf oorh laiti hay
                                Saans ki hararat say
                                Khirkioon kay sheeshoon pay
                                Dhund aanay lagti hay
                                Phir bhee aisay mousam main
                                Munjamidd zamanoon kay
                                Kon say wo jazbay hain
                                Jo pighalnay lagtay hain ....

                                Comment

                                Working...
                                X