Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

taraHee Ghazal urdujahaaN

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • taraHee Ghazal urdujahaaN

    yaaraan e bazm paiGhaam ko taraHee mushaa'ira urdujahaaN kee Ghazal # 12 ke saath Khayaal kaa aadaab!!!!!!!!

    arz e Khidmat hai

    nah jismeN booNd ho aisaa saHaab kya degaa
    miTaa'ey pyaas nah Khud kee woh aab kyaa degaa
    bohot Ghuroor hai Khud par baRaa hai naaz use
    "salaam tak naheeN kartaa jawaab kyaa degaa"

    jo muNh meN aataa hai naaSeH ke bol detaa hai
    naSeeHatoN se bharaa woh Khitaab kyaa degaa
    zamaane bhar se haiN shikwe shkaayateN jisko
    laboN se phool woh jhaRte gulaab kyaa degaa

    sharaab e ishq ke jo jaam pee naheeN saktaa
    use unaab kaa raNg e sharaab kyaa degaa
    mu'aashee fikroN ne booRhaa banaa diyaa sabko
    GhamoN ke bojh ko kaaNdhaa shabaab kyaa degaa

    HaqeeqatoN ka karo saamnaa,tumheN pyaare
    taSawwuraat kee dunyaa kaa Khwaab kyaa degaa
    miTaa dow teergee eemaaN kee leke chiNgaaree
    ujaalaa aas kaa gum aaftaab kyaa degaa

    nigaah e Zuaf kaa tum tow shikaar raihte ho
    damaktaa chaand tumheN aab o taab kyaa degaa
    "Khayaal" waqt hai abb bhee agar saNbhal jaaow
    tumheN yeh zeest kaa SaiHraa saraab kyaa degaa
    Attached Files
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

  • #2
    Re: taraHee Ghazal urdujahaaN

    Originally posted by Ismail Ajaz View Post

    Tasleem ............. Khayaal jee

    Lajawaab kar diya aap ke kalaam ne Pegham ki bazm-e-mehfil ko :rose

    keep sharing

    Comment

    • #3
      Re: taraHee Ghazal urdujahaaN

      Originally posted by Mr.Khan View Post
      Tasleem ............. Khayaal jee

      Lajawaab kar diya aap ke kalaam ne Pegham ki bazm-e-mehfil ko :rose

      keep sharing

      bohot inaayat hai aap kee KhaaN SaaHeb

      Allah aap ko Khush rakkhe
      Ismail Ajaz (Khayaal)

      muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
      Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

      Comment

      • #4
        Re: taraHee Ghazal urdujahaaN

        Originally posted by Ismail Ajaz View Post
        bohot inaayat hai aap kee KhaaN SaaHeb

        Allah aap ko Khush rakkhe
        Ameen Sumameen,

        Ismail sahab, chun ke ye aap ki apni ghazal thi si lye mai ne aap ke is thread ki ek copy Naye Shura walay section me bhi open kar di hai,

        Taa ke Pegham k shayer bhi aap k kalaam sey mehsooz ho saken :rose

        ye raha link
        http://www.pegham.com/f38/tarahee-gh...7/#post1349206

        Comment

        • #5
          Re: taraHee Ghazal urdujahaaN

          Originally posted by Mr.Khan View Post
          Ameen Sumameen,

          Ismail sahab, chun ke ye aap ki apni ghazal thi si lye mai ne aap ke is thread ki ek copy Naye Shura walay section me bhi open kar di hai,

          Taa ke Pegham k shayer bhi aap k kalaam sey mehsooz ho saken :rose

          ye raha link http://www.pegham.com/f38/tarahee-gh...7/#post1349206

          Khush rahiye janaab Allah aap ko dunyaa o aaKhirat kee izzatoN se nawaaze
          Ismail Ajaz (Khayaal)

          muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
          Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

          Comment

          • #6
            Re: taraHee Ghazal urdujahaaN

            Originally posted by Ismail Ajaz View Post
            Khush rahiye janaab Allah aap ko dunyaa o aaKhirat kee izzatoN se nawaaze

            Comment

            • #7
              Re: taraHee Ghazal urdujahaaN

              buhat khoob..

              Comment

              • #8
                Re: taraHee Ghazal urdujahaaN

                Originally posted by Mr.Khan View Post
                Janaab Khan SaaHeb
                baRee nawaazish hai aap kee
                Ismail Ajaz (Khayaal)

                muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
                Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

                Comment

                • #9
                  Re: taraHee Ghazal urdujahaaN

                  Originally posted by life. View Post
                  buhat khoob..
                  jeetee rahiye Khush rahiye
                  Ismail Ajaz (Khayaal)

                  muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
                  Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

                  Comment

                  Working...
                  X