Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kabhi sargoshiyoon main kahe alfaaz bun ker

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kabhi sargoshiyoon main kahe alfaaz bun ker

    kabhi sargoshiyoon main kahe alfaaz bun ker
    Alvida-e-shub, kabhi subhooo ka aaghaz bun ker

    Kyon aajate ho mujh ko tum lubhane
    Laboon per geet, kanoo main surila saaz bun ker

    Kabhi ho faaslain itne teri yadain bhi na hoon
    Kabhi mujh sai lipat jao mera libaas bun ker

    Kyon mujh ko cherta hai kai andaaz main wooh
    Kabhi khamoshi, kabhi aahat, kabhi awaz bun ker

    Wooh mujh sai jub bhi mila khuli kitaab jese
    Kabhi to mujh sai milay wooh, ek raaz bun ker

    Mere zehan main basa hai hansi khayal sa wooh
    Kabhi to ho ada wooh mere alfaaz bun ker

  • #2
    Re: kabhi sargoshiyoon main kahe alfaaz bun ker

    buhat khoob............

    Comment

    Working...
    X