Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Natasha Khan's choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Natasha Khan's choice

    i need a ghazal of mohsin naqvi which was something like that..
    "oh shakhs adabi kitab jaisa tha......"
    plz if anyone has it do send me.or post it plz

  • #2
    Re: I need mohsin naqvis poetry

    waite ...............

    Comment


    • #3
      Re: I need mohsin naqvis poetry

      mein ne iss torr se chaha tujhe aksar jana........... yhe kisi k pass hai plz send me?

      Comment


      • #4
        Re: I need mohsin naqvis poetry

        :rose
        Main ne iss tor se tujhe aksar chaha jana!
        jese mahtab ko beyant samundar chahay

        jese sooraj ki kirn seep k dil mein utray,
        Jese khushboo ko hawa rung se hatt kr chahay
        jese pathar k kalaijay say kirn phootti hai
        jese ghunchay khilay mausam se hinna mangtay hain

        jese khawabon mein khayalon ki kaman tootti hai
        jese barish ki dua abla paa mangtay hain

        mera har khawab mere sach ki gawahi day ga
        Wusat-e-deed ne tujh se teri khawahish ki hai
        meri sochon mein kabhi daikh sarapa apna!!
        maiin ne duniya se alag teri parastish ki hai

        khwahish-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
        noch dali hain zamanon ki naqabein main ney
        teri palkon par utarti hui subh k liay
        tor dalli hain sitaron ki tanabein main ne

        tujh ko ehsas he kab hai keh kisi dard ka daagh
        aankh se dil mein utar jae tou kiya hota hai?
        Tu keh seemab tabiyat hai tujhe kiya maloom
        mausam-e-hijr thehar jae tou kiya hota hai?

        Tu ne iss mor pe tora hai taaluq ko jahan
        daikh sakta nahi koi bhi palat kar jana!
        ab ye aalam hai k aankhein jo khulein gi apni
        yaad aae ga teri deed ka manzar jana!
        mujh se mangay ga tere ehad-e-muhabbat ka hisab
        tere hijran ka dehakta hua mehshar jana!

        yun mere dil k barabar gham aaya hai
        jese sheehsay k muqabil koi pathar jana!

        JESE MAHTAB KO BAY ANT SAMUNDAR CHAHAY
        MAIN NE AKSAR ISS TOR SE TUJH KO CHHA JANA!

        Comment


        • #5
          Re: I need mohsin naqvis poetry

          wah gee wah......sab sy pehly to khush amdeed...pher aap ny buhat achi poetry share kee hay.
          kia yeh mohsan nakvi sahib kee hay

          Comment


          • #6
            Aet hussn e Lala faam

            :welcome: sarfraz_chouhdary2003@yahoomail.com
            sarfraz_chouhdary@hotmail.com
            Attached Files
            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

            Comment


            • #7
              Re: I need mohsin naqvis poetry

              thank u Mr. Khalil
              ye Mohsin Naqvi sahib ki he hai.

              Comment


              • #8
                Re: Natasha Khan's choice

                MEIN KEH IS SHEHAR KA SEMAB SIFAT SHAIR HOON
                MERI TAKHLEEQ MERI FIKAR KE PEHCHAN BHE HAI
                MERAY HARFON MERAY LAFZON MEIN HAY CHEHRA MERA
                MERA FUN AB MERA MAZHAB MERA EMAN BHE HAY
                MEER WA GHALIB NAAN SAHI PHIR BHE GHANEMAT JANOO
                MERAY YAROON KEY SERHANAY MERA DEWAN BHI HAYE

                MUJH SY POCH KEH SHIKASTAY DIL O JAN SAY PEHLAY
                MERAY EHSAS PAY GUZRI HAY QIYAMAT KIA KIA
                SAYA E DAR O SHAB E GHUM KI SAKHAWAT SAY ALAG
                MAIN NEIN SOCHI QAD E GAISU KI ALAMAT KIA KIA
                MERAY TOTAY HOWAY KHWABOON K KHARABOON SAY PARAY
                MERAY BIKHRAY HOWAY JAZBAY THAY SALAMAT KIA KIA

                TANZAY E AGHYAR SAY EHBAB K AKHLAS TALAK
                MEIN NAIN HUR NEMAT E UZMA KA LIBADA PEHNA
                DASTAY QATIL KI KASHISH GAWAHI DAY GE
                MEIN HUR ZAKHAM QUBA SAY BHI ZIADA PEHNA
                MERAI ANKHOON MEIN KHARASHIN THEN DHANAK KI LEKIN
                MERI TASVIR NAIN MALBOS TO SADA PEHNA

                ZARBAT E SAngay mulamat meray senay pay saji
                tamgha e jurat o ezaz e hukumat ki trah
                khul k barsi meri sochon pay adwat ki ghata
                asmanon say utri howi doulat ki trah
                qariya qariya howi ruswa mery fun ki chahat
                konay konay mein bikhri howi shuhrat ki tarah

                mujh pay karki kamanain meray ghum khwaron ki
                meray ashkoon ka tamasha sar e bazar howa
                meray angan mein hawadis ki sawari utri
                mera dil wajah e azab e dur o dewar howa
                ishq mein izat e sadat bhula kar aksar
                mer sahib ki tarah mien bhi gunha gar howa

                apni ujri howi ankhon say shouain lay kur
                main nain bujhti howi sochon ko jawani dey haye
                apni ghazlon kay sukhan tab sitaray chun kur
                sang rezon ko bhi ashufta biani di haye
                husan e khak e rahay say mohabat kar k
                main nain hur mor ko aik taza kahani di haye

                mujh say rothay hain meray apnay qabelay walay
                meray senay main hur aik ter e sitam tota haye
                lafz o mani kay taqazon main uljh kar aksar
                meray haton mera majroh qalam tota haye
                qarbay naqadri e yaran k bhanwar main ghir kar
                bar ha dil ki tarah shouq ka dum tota hay

                MEIN KEH IS SHEHAR KA SEMAB SIFAT SHAIR HOON
                mein nein is shehar ki chahat say sharf paya haye
                meray addo ka ghazab abray e karam hay mujh ko
                meray ehbab ki nafrat mera sarmaya haye
                meri bikhri howi ruswai shuharat hay meri
                meray sehra ki tamazat mera sarmaya ha

                mutmain hon keh mujhay yad rakhay gi duniya
                jub bhi is shehar ki tarekh e wafa likhay gi
                meray ghar k dar wa derar mujh ko sochain gay
                wosat e dasht mujhay abla pa likhay gi
                mera matam isi chup chap fiza main ho ga
                mera noha inhi galion ki hawa likhay gi

                main keh is shehar ka semab sifat shair hoon

                Comment

                Working...
                X