Ab hurf e tamanna ko sama'at na milay gi
becho gay agar khuwab to qeemat na milay gi
tash'heer k bazar main aey taza kharreedar
zebaaishen mil jain gi qeemat na milay gi
lamhon k taaqub main guzar jaain gi sadyaan
yoon waqt to mil jay ga muhlat na milay gi
socha bhi na tha younhi usay yaad rakhen gay
jab us ko bhulanay ki bhi fursat na milay gi
ta umar wohi kaar e ziyan, ishq raha yaad
hala'n k ye maloom tha ujrat na milay gi.

Comment