Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mazza lijiye:)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • mazza lijiye:)

    Kyun Hai
    Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai
    Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai
    Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
    Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai
    Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
    phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai
    Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
    Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai
    Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
    Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai
    Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
    Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai

    DarD-E-MoHaBBaT
    Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
    Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
    Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
    Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi
    Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
    MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi
    Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
    Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi
    Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
    Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi
    Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN
    Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi
    Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
    Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi.

    Aansuon Aankh Ki Dehleez
    aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo....
    ghar ke haalaat zamaane ko bataya na karo...
    log muthhi meiN namak le ke phira kerte haiN....
    zakhm tum apne kisi ko bhi dikhaya na karo...
    saaNp KHushbu ke ahaate meiN basa kerte haiN....
    phool ke peRoN ko aangan meiN lagaya na karo...
    haathh aaye usi lumhe ko GHaneemat jano....
    apni palkoN pe koi KHwab sajaaya na karo...
    yaas ki tapti hui ret meiN jalne do mujhe....
    aas ke badlo sir pe mere aaya na karo...
    aaj ke daur ka paiGHam yahi hai taalib~...
    koi gir jaaye to bhoole se uthhaya na karo

    Kisey Pukarain Hum
    Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
    K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain
    Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
    Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain
    Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
    K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
    Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
    Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
    Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
    K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain
    Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
    Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
    Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
    K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Hain

    Mian Tu Ik Khawab Hoon Iss Khawab Saay Tu Pyar Nah Ker
    Payr Hoo Jaay Tu Phir Pyar Ka Izhaar Nah Ker
    Yah Hawaain Kabi Chup Chaap Chali Jaayn Gee
    Loot Kaay Phir Kabi Gulshan Main Nahi Ayain gee
    Apnay Hathoo Main Hawaoon Ko Gerftar Nah Ker
    Main Tu Ik Khawab Hoon
    Teray Dil Main Haan Mohoobat Kaay Baraktay Shoolay
    Apnay Seenay Main Chopa Laay Yah Baraktay Shoolay
    Iss Tarah Pyar Ko Roswa Saray Bazar Nah Ker
    Main Tu Ik Khawab Hoon
    Shaakh Saay Tot Kaay Gunchaay Bee Kahi Khiltay Haan
    Raat Aur Din Bee Zamanay Main Kahi Miltay Haan
    Bool Jaa Janay Daay Takdeer Saay Takrarr Nah Ker
    Main Tu Ik Khawab Hoon Iss Khawab Saay Tu Pyar Nah Ker

    Dil Youn Dharka
    dil youn dharka ke pareshan hoa ho jaisay...
    koi bedhiyani mein nuqsaan hoa ho jaisay...
    rukh badalta hoon to shey rag mein chubhan hoti hai...
    ishq bhi jang ka medaan hoa ho jaisay...
    jism youn lams-e-rafaqat ke asar se nikla...
    doosrey daur ka samaan hoa ho jaisay...
    dil ne youn phir mere seeney mein faqeeri rakh di...
    toot ker khud hi pasheman hoa ho jaisay...
    thaam ker haath mera aisa woh roya...
    koi kaafir se musalman hoa ho jaisay...

    Meri Mohabbat Ka Ehsaas Kar Agar Kar Sake
    Meri Mohabbat Ka Ehsaas Kar Agar Kar Sake,
    Tu Bhi Mujh Se Pyar Kar Agar Kar Sake,
    Aadat Badalti Hai Fitrat Badalti Nahi,
    Jaisa Hoon Aise Hi Yaar Kar Agar kar sake,
    Janta Hoon Buhat Kami Hai Mujhy Mein Achaai Ki,
    Meri buraayoon Ko Sharamsaar Kar Agar Kar Sake,
    Kisi Or Ka Khayaal Bhia Na Aane Paaye Kabhi,
    Itni Mohabbat Ka Izhaar Kar Agar Kar Sake,
    Main Tu Harf-A-Khaak Hoon Aur Kuch Bhi Nahi,
    Apne Pyaar Se Nayaab-A-Aghyaar Kar Agar Kar Sake,
    fakat Taman Hai Qaid-O-Hukam Nahi Tum Par,
    Mujh Pe Sachi Chahat Aisaar Kar Agar Kar Sake,
    Do Kadam Ka Saath Nahi Chahta Tumse,
    Umar Bhar Ka Wada-O-Ikraar Kar Agar Kar Sake ...


  • #2
    Re: mazza lijiye:)


    SO AWESOME CHOICE....
    KHUSH RAHAIN

    CHIPKOOOOOOOOOOOO

    Comment


    • #3
      Re: mazza lijiye:)

      Assalm-o-alaikom:rose

      very nice collection Imsaal:)
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment

      Working...
      X