Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Polling for Neend Poetry Competition

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Polling for Neend Poetry Competition

    Assalaam Alaikum :salam:


    Marchke month me hum ne




    Neend Poetry Competition




    rakha tha, ab waqt hai voting ka.:thmbup:


    Vote karne se pehle entries zaror check kar liye ga :thmbup:


    Vote karne ki last date 1st April 2010



    Entries are shown below

    Mr.Khan's entry






    crystal_thinking entry





    naz entry


    wo saath ho tu neend mai kaise khalal pare.....

    ye soch kar ki terii jabii.n par na bal pa.De
    bas duur hii se dekh liyaa aur chal pa.De

    dil me.n phir ik kasak-sii uThii muddato.n ke baad
    ik umr ke ruke hue aa.Nsuu nikal pa.De

    siine me.n beqaraar hai.n murdaa muhabbate.n
    mumkin hai ye charaaG kabhii Khud hii jal pa.De

    ai dil tujhe badalatii hu_ii rut se kyaa milaa
    paudho.n me.n phuul aur daraKhto.n me.n phal pa.De

    ab kis ke intazaar me.n jaage.n tamaam shab
    vo saath ho to neend me.n kaise Khalal pa.De

    `Shehzad` dil ko zabt kaa yaaraa nahii.n rahaa
    nikalaa jo maahataab samandar uchhal pa.De



    savera shah entry

    Tehri tehri see tabiyat main rawaani aayee
    Aaj phir yaad mohabbat ki kahaani aayee

    Aaj phir neend ko ankhoon say bichaRtay dekha
    Aaj phir yaad koi choo'ut puraani aayee

    Mudatton baad chala unn pay humara jadooo
    Mudatton baad humain baat banani aayee

    Mudatton baad pashayman huwa darya hum per
    Mudatton baad humain Piyaaas chupaani aayee

    Mudatton baad khuli wusa'at-e-sehra hum per
    Mudatton baad humain Khaak uRaaani aayee

    Mudatton baad muyaasir huwa MAA ka aanchal
    Mudatton baad humain neend suhaani aayee

    Itni asaani say milti nahin funn ki doulaat
    Dhal gayi umr tou ghazloon pay jawaani aayee


    JaaNaN entry


    Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati
    Tujhe sunay bina mujhe chain nahi aata

    Main aik aag hoon jo pani ki pyaasi hai
    Main aik jism hoon jo dil ka pyaasa hai
    Tujhe bhoolna na'mumkin se na'mumkin hai
    Tujh se judai main soch bhi nahi sakta hoon
    Tujhe paana meri tammana hai
    Tujhe khoo'denay ka darr behad hai
    Main kerta hoon tum se pyar itna
    ke ik nazar mein sab keh dalta hoon
    Tujhe dekh ke aik sukoon sa aata hai
    Tujhe se juda honay ka darr har waqt laga rehta hai
    Na janay kyon main tujhe ko chahtaan hoon is kadar
    Ke ik baar tujhe mein khoo jana chahtaan hoon
    Tujhe takleef mein dekha na jaii
    Meray ashqoon se pani beh jai

    Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati
    Tujhe sunay bina mujhe chain nahi aata

    6
    Mr.Khan
    33.33%
    2
    crystal_thinking
    0.00%
    0
    naz
    0.00%
    0
    savera shah
    33.33%
    2
    JaaNaN
    33.33%
    2
    Last edited by Mr.Khan; 27 March 2010, 18:28.

  • #2
    Re: Polling for Neend Poetry Competition

    meri sab se akhir main q............?

    Comment


    • #3
      Re: Polling for Neend Poetry Competition

      Mujhay lagta hai crystal_thinking ki nazm(kuch khuab hain jinko....) main ne pahlay bhi suni hui hai.Ye mujhay aik dost ne sms ki thi.Agar isay check kar lia jaye to munasib hoga.Akhir mein inhon ne Khasaa ko bhi khasah bana dia hai jis se mafhoom badal jata hai. "Khasaa" ka matlab hua "bohat sara" aur "Khasah" ka matlab hai "khas cheez".
      Last edited by zapk; 27 March 2010, 20:31.
      Mind Sciences

      Comment


      • #4
        Re: Polling for Neend Poetry Competition

        voted

        Comment


        • #5
          Re: Polling for Neend Poetry Competition

          voted :hairdrayer:
          میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

          Comment


          • #6
            Re: Polling for Neend Poetry Competition

            Voted

            Comment

            Working...
            X