.:: abhii kya kahain abhii kya sunaayein ::.
abhii kya kahain abhii kya sunaayein
ke sar-e-fasiil-e-sukuut-e-jaaN
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa
vo jo harf jarf charaagh thaa
use kis havaa ne bujhaa diyaa
kabhii lab hilainge to puuchhnaa...
sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil
vo jo nikahaton kaa hujuum thaa
use dast-e-mauj-e-firaaq ne
tah-e-Khaak kab se milaa diyaa
kabhii gul khilainge to puuchhnaa...
abhii kya kahein abhii kya sunaayein
yuuN hii Khvaahishon ke fishaar mein
kabhii be-sabab kabhii beKhalal
kahaaN kaun kis se bichharr gayaa
kise kis ne kaise gaNvaa diyaa
kabhii phir milainge to puuchhna...
.:: Mohsin Naqvi ::.
abhii kya kahain abhii kya sunaayein
ke sar-e-fasiil-e-sukuut-e-jaaN
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa
vo jo harf jarf charaagh thaa
use kis havaa ne bujhaa diyaa
kabhii lab hilainge to puuchhnaa...
sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil
vo jo nikahaton kaa hujuum thaa
use dast-e-mauj-e-firaaq ne
tah-e-Khaak kab se milaa diyaa
kabhii gul khilainge to puuchhnaa...
abhii kya kahein abhii kya sunaayein
yuuN hii Khvaahishon ke fishaar mein
kabhii be-sabab kabhii beKhalal
kahaaN kaun kis se bichharr gayaa
kise kis ne kaise gaNvaa diyaa
kabhii phir milainge to puuchhna...
.:: Mohsin Naqvi ::.
Comment