Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

PARHIYE....:p

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • PARHIYE....:p

    khushboo Talash Kerti Thi Chahat Jo Phool Ki
    khushboo talash kerti thi chahat jo phool ki
    do sadaqaton ki aik hia saat nazool ki
    utra hai aftab sadaqat zameen per
    hamrah roshni hai khuda ke rasool ki
    ilm-o-kamal-o-takwa sadaqat ke wirsa dar
    nazren jami hain in pe har ik dil malool ki
    woh shaks badshahon ki tauqeer rakhta hai
    jis ne bhi in ke dar ki ghulami qabool ki
    masoom athwen hain imam shams hain yeh
    tareeq likh gaye hain furoo-e-asool ki
    in ki sadaqaton pe sadaqat ko naz hai
    yeh bhi hai ik nishani jahan mein rasool ki

    Baqa Ki Fikar Karo Khud Hi Zindage Ke Liye
    hamare saamne kuch gham ke qafle guzre
    phir iss ke baad issi raaste se hum guzre
    wafa ka naam koi bhool ker nahi leta
    tere sulook ne chonka diya zamane ko
    mein chal nahi raha tha zamane ke saath saath
    woh marhala bhi ishq mein kis hausle ka tha
    gham zamana se fursat nahi mili warna
    tere jamal se mashoor ho gaye hote
    aik dosre ko jaan na pae tumam umar
    hum hi ajeeb the ke zamana ajeeb tha
    baqa ki fikr karo khud hi zindage ke liye
    zamana kuch nahi kerta kabhi kisi ke liye

    Rang Chaman Ura Ura Chehra Gul Bujha Bujha
    rang chaman ura ura chehra gul bujha bujha
    abb ke yunhi guzar gaya qafla bahar ka
    abb tak utarte hain wahan khushboo ke qafle
    bhoole se jis jaga likh diya tha tumhara naam
    taher gaye hain qafle kahan mohabbat ke
    har aik raah guzar sog-war hai saaqi
    qafle barh ke usse lae hain manzil ke qareeb
    rah guzar per jo mere naksh-e-qadam ne likha
    ik ik ker ke khud se bicharne lage hain hum
    dekho to ja ke qafle salaar koun hai
    raaston ne manzil ke kitne khuwab dekhe hain
    qaflon ki khuwaishon mein aik woh hi maskan the
    iss anbaren ki zulf pareshan ko dekh ker
    be-taab ho gaye hain chanaron ke qafle

    TERI YAAD AAEYGI

    Ek tu teri aawaaz yaad aayegi,
    teri kahi hui har baat yaad aayegi,
    Din dhal jaayega raat yaad aayegi,
    har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi..
    Kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati..
    ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi..
    Par kuch kami isme bhi to reh jayegi.
    dil ko tadpayegi kabhi tarsayegi.
    har lamha teri yaad aa jayegi

    Tu Kisi Aur Ki Jagir Hai Ae Jaan-e-Gazal
    tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal
    log tuufaan uThaa de.nge mere saath na chal
    pahalehaq thaa terii chaahat ke chaman par meraa
    pahale haq thaa terii Khushbuu-e-badan par meraa
    ab meraa pyaar tere pyaar kaa haq_daar nahii.n
    mai.n tere gesuu-o-ruKhsaar kaa haq_daar nahii.n
    ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal
    mai.n tere pyaar se ghar apanaa basaa_uu.N kaise
    mai.n terii maa.Ng sitaaro.n se sajaa_uu.N kaise
    merii qismat me.n nahii.n pyaar kii Khushbuu shaayad
    mere haatho.n kii lakiiro.n me.n nahii.n tuu shaayad
    apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal
    mujh se kahatii hai.n ye Khaamosh nigaahe.n terii
    merii paravaaz se uu.Nchii hai.n panaahe.n terii
    aur Gairat-e-ehasaas pe sharmindaa huu.N
    ab kisii aur kii baaho.n me.n hai.n baahe.n terii
    ab kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N teraa mahal

    RaaZ
    Pouchoo Meri !chahat! ka raaz
    Meri num aankhoon say
    Aankhoo say behtey aansoo say
    us Zameen say jiss main jazb hotey hain
    Pouchoo Merii !wafa! Ka razz
    uN lamhoon say
    Un YaaDon say
    Ju tujhey bholney Nahi detii
    Pouchoo sirf aur sirf Merey toutney
    ka razz
    Ju teri chahat ko teri aankhoo main dekh ker
    aur aansoo ki surat maii Zameen main
    jzab hota nahi Dekh sakta

    Naseeb
    Dekhe the kitne khuwaab maine to raat din
    In sab haseen khuwabon ki tabeer bhi tum ho
    Her simt dekhti hoon tum hi ho mere paas
    Meri in chahaton ki tasweer bhi tum ho
    Mere naseeb main RAB ne tumhain likha hai
    Mera naseeb tum ho meri taqdeer bhi tum ho
    Maine tumahin hai chaha aur chahti rahoongi
    Mere Dil ki AB tammanna tum ho

    Har Ghari Dard Ke Paiwand Lagae Jaate Hain
    gafil tughe gharyal yeh edta hai manadi
    gardoon se ghari umar ki aik aur ghata di
    zindage kia kisi muflis ki qaba hai jis mein
    har ghari dard ke paiwand lagae jaate hain
    guzar di thi khushi ki chand gharyan
    inhi ki yaad meri zindage hai
    tasleem ke suche phoolon ki khushboo mein khabar ho jati hai
    laiken woh ghari bhi aati hai jab shaher badar ho jaati hai
    dhoondne nikla hoon mein insan logo shaher mein
    jis ghari bikne lage emaan logo shaher mein
    woh sukoon badosh lamhe yeh alm naseeb gharyan
    mughe yaad araha hai tere qarb ka zamana
    tere maathe per jab phoolon ki lari hogi
    hum per woh waqt ki mushkil ghari hogi

    Yeh Pal Yaad Ayengai
    jab jiya jab socha.....
    tab jana yaaro bohat mushkil hai......
    in lamhoon ko bhool pana......
    yeh pal hamain yaad ayen gai......
    woh kal yaad ayen gai,
    yeh pal hamain yaad ayen gai......
    woh kal yaad ayen gai,
    hum ne kia yahan jo bhi kia ,
    rokey kabhi haas k jiya,
    khoshiyan our kabhi ghum bhi liya,
    rookey kabhi haas k jiya,,,
    yeh paal.
    manzoor jo khwab howey sach woh aj howey,
    barsoon jo khwab guney sach woh ajj howey,
    mill he gaya manzil ka nishaan,
    apney sapnoo ka jahaan,
    chootey na yeh karwaan,
    apney sapnoo ka jahan,
    yeh paal.
    shukria yaaro shukria,
    pyaar jo inta diya,
    awo milkey jhumain gayeain,
    cahrain sargam ko,
    nagmain barsaain ,
    mil kar jhumain gaain,
    hum ne kia yahan jo bhi kia,
    rookey kabhi haas k jiya,
    khoshiyan our kabhi ghum bhi liya,
    rookey kabhi haas k jiya,
    mill he gaya manzil ka nishaan,
    apney sapnoo ka jahaan,
    chootey na yeh karwaan,
    apney sapnoo ka jahan,
    yeh paal.
    yeh paal yaad ayengai,
    woh kal yaad ayengai,
    yeh paal.
Working...
X