zindagi k melay mein
khuwashishoon k railay mein
tum se kya kehain jana
iss qadar jhamelay mein
waqt ki rawani hai
bakht ki girani hai
sakht bay zameeni hai
sakht la makani hai
hijr k samandar mein
takht or takhtay ki
ek ki kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara c hai
baat umer bhar ki hai
umar bhar ki baatein kab
do gharee mein hotee hain
dard k samandar main
an ginat jazeray hain
be shumar moti hain
aankh k darechay mein
tum ne jo sajaya tha
baat uss diye ki hai
baat uss gilay ki hai
jo laho ki khilwat mein chor ban k aata hai
lafz ki faseelon par toot toot jata hai
zindagi se lambi hai
baat rat-jagay ki hai
rastay mein kaisay ho
baat takhliyeh ki hai
guftogo izaafi hai
pyar karnay walon ko
ek nigah kaafi hai
ho sakay to sun jao
ek din akelay mein
Tum se kya kehain jana
Iss qadar jhamelay mein.......
By ...Amjad Islam Amjad
khuwashishoon k railay mein
tum se kya kehain jana
iss qadar jhamelay mein
waqt ki rawani hai
bakht ki girani hai
sakht bay zameeni hai
sakht la makani hai
hijr k samandar mein
takht or takhtay ki
ek ki kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara c hai
baat umer bhar ki hai
umar bhar ki baatein kab
do gharee mein hotee hain
dard k samandar main
an ginat jazeray hain
be shumar moti hain
aankh k darechay mein
tum ne jo sajaya tha
baat uss diye ki hai
baat uss gilay ki hai
jo laho ki khilwat mein chor ban k aata hai
lafz ki faseelon par toot toot jata hai
zindagi se lambi hai
baat rat-jagay ki hai
rastay mein kaisay ho
baat takhliyeh ki hai
guftogo izaafi hai
pyar karnay walon ko
ek nigah kaafi hai
ho sakay to sun jao
ek din akelay mein
Tum se kya kehain jana
Iss qadar jhamelay mein.......
By ...Amjad Islam Amjad
Comment