Yeh zara zara si baat par, tarha tarha keh azaab kion
Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe uss Khuda ki talaash hai..
Mujhe larzishoon pe har ghardi, koi toukta hai baar baar
Jise kar keh dil ko dukh na ho, mujhe uss gunnah ki talaash hai
Dhoondta hoon woh khizaan, jisey gulshanoon se pyaar ho
Jise kar keh dil ko bey'r na ho, mujhe us hawa ki talaash hai
Mujhe uss nagar ki hai justuju, jahan koi bhi chahta nahi lahu
Jahan hiran ko sher se dar na ho, mujhe us jaga ki talaash hai
Yahan ik lamhe ke paroon mein, mere saare phool jhulas gaye
Ab jahan talkhioon ki tappish na ho, mujhe uss fizza ki talaash hai
Bina humsafar ke koi kab talak musaffittoon mein laga rahe
Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss rah ki talaash hai
Husan-kadoon ke shor se meri semm'attein hain ajnabi
Ho jiss pukaar mein mukhlisi, mujhe uss sadaa ki talaash hai
Mujhe dekh kar jo aik nazar, mere saare dard samajh sakay
Jo is qadar ho chaar-a-gar, mujhe uss Nigah ki talaash hai.

Comment