meray humsafar, tujhay kya khabar
isay daikhtay, isay jhailtay
meray khuwab rait mai kho gaye
meray hath barf se ho gaye
meray bay khabar tere naam per
wo jo deep jaltay thay baam per,
wo nahi rahey
wo nahi rahey k jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya
wo hawa chali
wo kisi sham aisee hawa chali
wo jo harf darj thay rait per, wo ura diye
wo jo raaston ka yakeen thay
wo jo manzilon k ameen thay
wo nishan-e-pa bhi mita diye!
maire humsafar, hai wohi safar
magar aik moor k farq se
tere hath se maire hath tak
wo jo hath bhar ka tha fasla
kai mosamon mai badal gaya
usey naptey, Usey kat tay
mera sara waqt nikal gaya
nahi jis pe koi nishan-e-pa
mery samnay hai wo rah guzar
meray chahrah ger
meray durd ki tujhay kia khabar
ye jo raig-e-dasht-e-firaaq hai
ye jo raat hai meray chaar soo
magar is ki koi shajar nahi
main nay chhaan daykha shajar shajar
meray chahrah ger
meray durd ki tujhay kia khabar
Comment