dadoo khairat k zamaney gaey
pyar o muhabbat k afsaney gaey
chamak damak se aankhein khairan
apney praey k sab paimaney gaey
hazrat-e-insan kya ho gaya tujhey
tahzeeb-o-aqdar k dewaney gaey
qafla ja raha hey janey kis janib
apnee zat se ho kaisey beganey gaey
karey batt jo koe usool zabtey ki
kehtey hein inhein choro ye ho puraney gaey
koe rokey inhein to ye ruktey nahein
sab apney gaey sab anjaney gaey
hey fikar ka takrao nasal k darmian
sath wo bhee gaey jo samjhaney gaey
athar kuch to batao ye kya ho raha hey
shama chooe kahan sarey perwaney gaey
----(dr athar hussain siddiqui al marof ibne sultan narvi)
pyar o muhabbat k afsaney gaey
chamak damak se aankhein khairan
apney praey k sab paimaney gaey
hazrat-e-insan kya ho gaya tujhey
tahzeeb-o-aqdar k dewaney gaey
qafla ja raha hey janey kis janib
apnee zat se ho kaisey beganey gaey
karey batt jo koe usool zabtey ki
kehtey hein inhein choro ye ho puraney gaey
koe rokey inhein to ye ruktey nahein
sab apney gaey sab anjaney gaey
hey fikar ka takrao nasal k darmian
sath wo bhee gaey jo samjhaney gaey
athar kuch to batao ye kya ho raha hey
shama chooe kahan sarey perwaney gaey
----(dr athar hussain siddiqui al marof ibne sultan narvi)
Comment