Mujhe apne zabt pe naaz tha
Sar-e-bazm aaj ye kya hua
Sar-e-bazm aaj ye kya hua
Meri ankh kaise chalak gayi
Mujhe ranj hai ye bura hua
Mujhe ranj hai ye bura hua
Meri zindagi ke charagh ka
Ye mizaaj koi naya nahi hai
Ye mizaaj koi naya nahi hai
Kabhi roshni kabhi teergi
Na jala hua na bujha hua
Na jala hua na bujha hua
Mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila
Wohi pukhta kaar-e-jafa mila
Wohi pukhta kaar-e-jafa mila
Na kisi ki zarb ghalat pari
Na kisi ka teer khata hua
Na kisi ka teer khata hua
Mujhe app kyun na samajh sakey
Ye khud apne dil se he poochiye
Ye khud apne dil se he poochiye
Meri dastan-e-hayaat ka to
Hai warq warq khuda hua
Hai warq warq khuda hua
Comment