Jab sar-e-sham us ne zulfon ko sanwara hoga
Hath mein kangan aankh mein kajal awara hoga
Us ke baalon mein saja wo surkh gulaab
Raat ko sotey mein kisi ne to utara hoga
Aalam-e-tanhai mein shab bhar karwatein le kar
Koi to ho ga jisey us ne pukara hoga
Haaye! wo neend mein doobi hui makhmoor ankhein
Jis ne dekha wo dil wahin pe haara hoga
Us ke betaab laraztey huey honton pe
Humein yaqeen hai machalta hua naam hamara hoga

Comment