Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Abubaker786 ka intekhab...!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Abubaker786 ka intekhab...!!!

    Ranjesh hi sahi dil hi dukhane k liye aaa

    Aaaa phir se mujhye choor k jane k liye aaa

    Kuch to mere pandare mohabbat ka bharam rakh

    Tu bhi to kabhi muj ko manane k liye aaaa

    Pahle se marasam na sahi phir bhi kabhi aaa

    Rasm dare duniya hi nibhane k liye aaaa

    Kis kis ko batayeen ge judayi ka sabab ham

    Tu muj se khafa hay to zamane k liye aaa

    Ek umr se houn lazat_e_garia se bhi mahroom

    Aye rahat_e_jaan! muj ko rulane k liye aaa

    Ab tak dil khushfaham ko tuj se hain umedeen

    Yeh akhari shamain bhi bujhane k liye aaaa

  • #2
    ~*Dostoo*~4

    Ashqke rawaan ki nahir hay aur hum hain dosto

    Us bewafa ka sheher hay aur ham hain dosto

    Yeh ajnabi se manzelen aur raftgan ki yaad

    Tanhaiyoon ka zahir hay aur ham hain dosto

    Layi hay ab ura k gaye mousmon ki baas

    Barkha ki raat ka kahir hay aur ham hain dosto

    Phirte hain mashle mouj hawa sheher sheher main

    Aawargi ki lahir hay aur ham hain dosto

    Sham alam dhali to chali dard ki hawa

    Ratoon ka pichla pahir hay aur ham hain dosto

    Aankhon main ur rahi hay lute mahfiloon ki dhool

    Ebrat saraye dahir hay aur ham hain dosto

    Comment


    • #3
      ~*Ishq Main*~5

      Aap jin k kareeb hote hain

      Woh bare khushnaseeb hote hain

      Jab tabiyat kisi par ati hay

      Mout k din kareeb hote hain

      Muj se milna phir aap ka milna

      Aap kis ko naseeb hote hain

      Zulm sah kar jo uff naheen karte

      Un k dil bhi ajeeb hote hain

      Ishq main aur kuch naheen milta

      sankaroon gham naseeb hote hain

      Nouh ki qadar koy kiya jane

      Kaheen aise adeeb hote hain

      Comment


      • #4
        ~*Wahda to kiya*~6

        Yarab ghameen hijraan main itna to kiya hota

        Jo hath jegar par hay,woh dast_e_duaa hota

        Ek ishq ka gham afat aur is par yeh dil afat

        Ya gham na deya hota ya dil na deya hota

        Nakaam tamna dil is soch main rahta hay

        Yun hota to kiya hota yun hota to kiya hota

        Umeed to bandh jati taskeen to ho jati

        Wahda na wafa karte wahda to kiya hota

        Gairoon se kaha tum ne gairon se suna tum ne

        Kuch ham se kaha hota kuch ham se suna hota

        Comment


        • #5
          ~*Jaan_e_ Aarzu*~7

          Main aarzu_e_jaan likhon ya jaan_e_aarzu

          Tue hi bata de naaz se emaan_e_aarzu

          Aansu nikal rahe hain tasawar main ban k phool

          Shahdaab ho raha hay gulestan_e_aarzu

          Emaan wa Jaan nisaar teri ek nigah par

          Tue jaan_e_ aarzu hay tue emaan_e_aarzu

          Hone ko hay talu,Saba_e_ shab wasaal

          Bujhe to hain chirag shabestan_e_aarzu

          Ek woh k aarzuon pe jete hain umrbhar

          Ek ham k hain abhi se pasheymaan_e_ aarzu

          Aankhon se joye khun hay rawaan dil hay dag dag

          Dekhe koy bahaar_e_ gulestaan_e_aarzu

          Dil main nishat_e_rafta ki dhundali se yaad hay

          Ya shama_e_wesl hay tah daman_e_aarzu

          Akhtar ko zindagi ka bharosa naheen raha

          Jab se luta chuke sard samaan_e_aarzu

          Comment


          • #6
            ~*Kitna Hay Badnseeb*~8

            Lagta naheen hay jee mera ujare deyaar main

            Kis ki bani hay aalmeen napayedaar main

            Kah do hasratoon se kaheen aur ja baseen

            Itni jagah kahan hay,Dil dagdaar main

            umr daraz maang kar laye the chaar din

            Do aarzu main kat gaye do intezar main

            Kaantoon ko mat nikal chaman se o bagbaan

            Yeh bhi guloon k sath pale hain bahar main

            Bulbul se koy shikwa na saiyad se gilah

            Kismat main kaid likhi thi fasl e bahar main

            Kitna hay badnaseeb zafar dafan k liye

            Do gaze zameen bhi na mili koyeyaar main

            Comment


            • #7
              ~*Shab_e_Gham*~9

              Shab_e_gham muj se mil kar aise roye

              Mila ho jaise sadiyon baad koy

              Hameen apni samjh ati naheen khud

              Hameen kiya khaaq samjhaye ga koy

              Qareeb manzeel pe aa k dam hay tuuta

              Kahan aa kar meri taqdeer soi

              Kuch aise aaj un ki yaad aie

              Mili ho jaise dolat aik khoi

              Saja rakha qafas hay khoon_o_bar se

              K ab to bijliyaan le aye koi

              Comment


              • #8
                ~*Sitaroo*~10

                Sitaroo tum to so jao

                Pareshan raat sari hay

                Sakoon par marg tari hay

                Humeen to aaj ki shab

                Po phate tak jagna ho ga

                Yehi kismat hamari hay

                Tumeen kiya hum agar

                Lute gaye rahye mohabbat main

                Yeh bazi hum ne hari hay

                Humeen bhi nennd aa jayegi

                Hum bhi so hi jayeen ge

                Abhi kuch bekarari hay

                Comment


                • #9
                  ~*Tum ko aik shaks yaad aye ga*~11

                  Jab koy pyaar se bulaye ga
                  Tum ko aik shaks yaad aye ga
                  Lazite gham se aashna ho kar
                  Apne mehboob se juda ho kar
                  Dil kahen jab sakoon na paye ga
                  Tum ko aik shaks yaad aye ga
                  Tere lab pe naam ho ga pyaar ka
                  Shama dekh kar jaly ga dil tera
                  Jab koy sitara timtamaye ga
                  Tum ko aik shaks yaad aye ga
                  Zindagi k dard ko saho ge tum
                  Dil ka chain dhundhty raho ge tum
                  Zakhmen dil jab tumeen sataye ga
                  Tum ko aik shaks yaad aye ga

                  Comment


                  • #10
                    ~*Sahil To Freeb Nazar Tha *~12

                    Main to ashfata sahar tha pehly bhi
                    Dostoon k hathe main pathar tha pahly bhi

                    Chand lamhain kar li hum se dil lagi warna
                    Jafaoun pe amada sitamgar tha pahly bhi

                    Nakhuda choor gaya bhanwar main to kiya huwa
                    sahil to freeb nazar tha pahly bhi

                    Yeh aur baat aaa gaye chand lamhe nishat k
                    Tuj pe takiya to aye chasham tar tha pahly bhi

                    Daman jhatak liya kisi ne to kiya gilah
                    Main to gard rahguzar tha pahly bhi

                    Ziya dekh bhul gaya raftar apni
                    Andhera to apna humsafar tha pahly bhi

                    Abhi kirchiyaan jama bhi na huyen k phir tuut geya
                    hayee is baat ka dar tha pahly bhi...

                    Comment


                    • #11
                      ~*Kuch To*~13

                      Rang barsaar ne bhare kuch to
                      Zakham dil k huwe hare kuch to
                      Fursate bey khudi ganimat hay
                      Gardasheen ho gayen pare kuch to
                      Kitne shoredah sar the parwane
                      shaam hoty hi jal mare kuch to
                      Aisa mushkil to naheen tera milna
                      Dil magar justejo kare kuch to
                      Aao nasir koy gazal chaireen
                      Jee behal jaye ga are kuch to !

                      Comment


                      • #12
                        ~*Main kis liye jita hoon*~14

                        Kyun pouchty ho
                        Kiya tum se kahoon
                        Main kis liye jita hoon
                        Shayad k kabhi mil jao kaheen

                        Main is liye jita hoon.
                        Jine ka mujhe kuch shoq naheen
                        Bas waqt guzara karta hoon
                        Kuch deer ulhaj kar yadoon main
                        Dunya se kanara karta hoon
                        Marta bhi ussi ki khatir hoon main
                        Jis liye jita hoon shayad k kabhi mil jao kaheen

                        Main isliye jita hoon

                        Main hoon k sulagta rahta hoon
                        Bhujta bhi naheen jalta bhi naheen
                        Dil hay k tarapta rehta hay
                        Rukta bhi naheen chalta bhi naheen
                        Jine ki tamana mit bhi chuki
                        Phir kis liye jita hoon
                        Shayad k kabhi mil jao kaheen

                        Main isliye jita hoon !!!

                        Comment


                        • #13
                          ~*Teri Yaad Aaa Gaye*~15

                          Teeri yaad a gayi gham khushi main dhal gaye
                          Ek chirag kiya jala soo chirag jal gaye

                          Aaj bhi nigah main phir raha hay woh samaan
                          Sharm se ruke ruke mil gaye the tum jahan
                          Asi bijliyaan gireen saare khuwaab jal gaye

                          Rahguzar main pyaar ki tum the mere humqadam
                          Tum to ho gaye juda aur bhatak rahe hain hum
                          Dekhty hi dekhty raasty badal gaye
                          Gham khushi main dhal gaye...

                          Comment


                          • #14
                            ~*Saakiya Saakiya *~16

                            Le ura phir koy khiyal humeen
                            Saakiya saakiya sunbhaal humeen

                            Ro rahe hain k aik adat hay
                            warna itna naheen malaal humeen

                            khalwati hain tere jamaal k hum
                            Aaine ki tara sunbhaal humeen

                            Marg anboh jashen shadi hay
                            Mil gaye dost hasbe haal humeen

                            Kiya touwaka kareen zamane se
                            Ho bhi gar jurate sawaal humeen

                            Hum yahan bhi naheen hain khush lekin
                            Apni mehfel se mat nikaal humeen

                            Hum tere dost hain fraz magar
                            Ab na uljhanoon main daal humeen.

                            Comment


                            • #15
                              ~*Mujhe sakoon chaye*~17

                              Bharak rahi hay aag si hawaoon main
                              Sulag raha hoon baadlon ki chaaon main
                              Bahar muj se cheen gaye
                              Mujhe bahar chaye
                              Mujhe sakoon chaye
                              Mujhe karar chaye

                              Kisi ki dil lagi ko pyaar jaan k
                              Main lut gaya hoon dil ki baat maan k
                              Na muj ko chaye wafa
                              Na muj ko pyaar chaye
                              Mujhe sakoon chaye
                              Mujhe karaar chaye

                              Najane kab yeh dil ka dard jaye ga
                              Rahoon ga hosh main to gham sataye ga
                              Mere liye to raat din bas ek khumar chaye
                              Mujhe sakon chaye
                              Mujhe karaar chaye

                              Tarap na mere dil kisi ki aas main
                              Hazar talkhiyan hain teri pyaas main
                              Tujhe to sari zindagi bhar ka intezar chaye
                              Mujhe sakoon chaye
                              Mujhe karaar chaye

                              Comment

                              Working...
                              X