Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Manzil mere qadmon se, by Tauheed Maikash

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Manzil mere qadmon se, by Tauheed Maikash

    Manzil mere qadmoN se abhi door bahut hai
    Qissa meri nakami ka mash-hoor bahut hai

    Vo mausam-e-gul ho ke khezaN, aap ke dam se
    Ye sehn-e-chaman husn se maamoor bahut hai

    Qudrat ki hemayat nahiN haasil to ye insaN
    HoN laakh wasayel bhi to majboor bahut hai

    Naadaar-o-tahi-dast jo haq maNge to mujrim
    Ghurbat ko saza dene ka dastoor bahut hai

    KhudbeeN bhi hai, khudsar bhi hai, khuddaar nahiN hai
    Kirdar ki khaami se vo raNjoor bahut hai

    MaiN dast-e-sawaal apna baDhata nahiN aage
    Aur log samajhte haiN ke maGroor bahut hai

    Allah ne jo kuchh bhi diya khoob hai maikash
    Dil uski enayaat se masroor bahut hai
    sigpic

  • #2
    Re: Manzil mere qadmon se, by Tauheed Maikash

    very very nice sharing bro
    I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

    Comment

    Working...
    X