Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Palkein Bhigo Lete‏

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Palkein Bhigo Lete‏

    Kisi ki yaad mein palkein bhigo lete
    Udaas raat ki tanhaiyon mein ro lete

    Dukhon ka bojh akele nahi sambhalta hai
    Kahin wo milta to lipat ke ro lete

    Agar safar mein hamara bhi humsafar hota
    Bari khushi se in he pathron pe so lete

    Tumhari raah mein shakhon pe phool sookh gaye
    Kabhi hawa ki tarah is taraf bhi ho lete

    Ye kya ke roz wohi chandani ka bistar ho
    Kabhi to dhoop ki chaadar bicha ke so lete

  • #2
    Re: Palkein Bhigo Lete‏

    very nice sharing
    I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

    Comment


    • #3
      Re: Palkein Bhigo Lete‏

      .Wah,bohat ala

      Comment


      • #4
        Re: Palkein Bhigo Lete‏

        wah janab,

        Kahin woh milta tou lipat kay rou laitay... bohat hi khoob, bohat hi khoobsurat andaz-e-bayan hay aur poori ghazal nay aik hi mouzoo ko pakaR kar rakha matlay say maqtay tak... bohat kam milta hay aisa dekhnay ko... keep sharing, khush rahyeh :)
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Palkein Bhigo Lete‏

          Umdah!
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • #6
            Re: Palkein Bhigo Lete‏

            nice poetry

            Comment


            • #7
              Re: Palkein Bhigo Lete‏

              khubsurat sharing Hamsafar ji
              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

              :pr:

              Comment

              Working...
              X