Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kabhi yaad aye to pochna

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kabhi yaad aye to pochna

    Kabhi yaad aye to pochna
    Zara apni khulwat-e-sham se
    Kisey ishq tha teri zaat se
    Kise pyar tha tere naam se
    Zara yad kar kay wo kon tha
    Jo kabhi tujhe bhi azeez tha
    Wo jo mar mita tere nam pe
    Wo jo jee utha tere nam se
    Hamain berukhi ka nahi gila
    Kay yehi wafaoan ka hai sila
    Magar aisa jurm tha kon sa
    Gaye hum dua-o-salam se
    Na kabhi visaal ki chah ki
    Na kabhi firaq main ahh ki
    Kay mera tarika-ebandagi
    Hai juda tareek-e-emam se...!!!
    Last edited by Mahvish Waqas; 23 September 2009, 23:50.


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: Kabhi yaad aye to pochna

    Wah wah wah.... kia baat hay.... bohat hi khoobsurat ghazal.... shikwa kahoon, shikayat kahoon, guzarish kahoon yaa sirkashi.... iss ghazal main har woh rang shamil hay jis main khudh sari aur khudaari hay, bohat khoob... humesha ki tarhan aap ka intikhaab paRh kar bohat khushi hay... isi tarhan apnay intikhaab say humain mustafeed karti rahain, khush rahyeh :)
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Kabhi yaad aye to pochna

      buth he khoob sharin...lovely
      I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

      Comment


      • #4
        Re: Kabhi yaad aye to pochna

        Assalam o alaikum wr wb..

        Intikhaab pasand karnay k bohat bohat shukria
        khush rahain


        میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


        میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

        Comment


        • #5
          Re: Kabhi yaad aye to pochna

          Bohat khoob

          Comment

          Working...
          X