ik intazar sa tha ab nazar mein vo bhi nahi
safar mein marne ki fursat thi ghar mein vo bhi nahi
zara malaal ki zulmat ko Taalne ke liye
kai Khayal the ab to asar mein vo bhi nahi
jo sang-o-Khaar the meri hi gardishon tak the
main rah-guzar mein nahi rah-guzar mein vo bhi nahi
the chashm-e-baam nagar mein ajab tuloo ke rang
vo ik nishat-e-sahar tha sahar mein vo bhi nahi
rahe na kuch bhi magar ye kaif kyaa kam hai
jis aagahi ki kami thi hunar mein vo bhi nahi

Comment