Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

A Ghazal By ABBAS Tabish

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • A Ghazal By ABBAS Tabish

    Hawa-e-taiz taira aik kaam aakhree hay
    kay nakhal-e-khushk pay mah-e-tamam aakhree hay

    main jis sakoon say baitha hoon is kinaray par
    sakoon say lagta hay maira kayam aakhree hay

    phir us kay baad yeah bazar e dil nahee lagna
    khareed leejiay sahab! ghulam aakhree hay

    guzar chala hoon kisi ko yakeen dilata hua
    kay loh e dil pay rakam hay jo naam aakhree hay

    tabhee to pair kee aankhoon main chaand ubhar aaya
    kisi nay keh dia hoga kay shaam aakhree hay

    yeah lag raha hay mohabbat kay pehlay zeenay pay
    kay jis mukam pay hoon yeah mukam aakhree hay

    kisi nay phir say kharay kar diay dar o deewar
    khayal tha kay mira inhidam aakhree hay

    hamaray jaisay wahan kis shumar main hongay
    kay jis katar main majnoon ka naam aakhree hay

    shure e ishk main aisee udasiaan "tabish"
    har aik shaam yeah lagta hay shaam aakhree hay


  • #2
    Re: A Ghazal By ABBAS Tabish

    keep shairing
    Need a siggi:hii:

    Comment


    • #3
      Re: A Ghazal By ABBAS Tabish

      Bohat Khoob

      Comment

      Working...
      X