Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mousam Ki Pehli Barish

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mousam Ki Pehli Barish

    Raat Ne Jalti Tanhai Mein
    Andheron K Jaal Bunay The
    Deewaron Pe Tareeki Ki Gard Jami Thi
    Khushbowon Ka Ehsaas Feeza Mein
    Toot Raha Tha
    Gher Aangan Khamoshi oorhay
    Jaag Raha Tha
    Derwaze Bahain Phela'aye
    Oongh Rahe The
    Door Samander Per Hawayen Badalon Se
    Batain Kerti Theen
    Aise Mein Aik Neend Ka Jhonka
    Laher Bana Aur Guzer Gaya
    Phir Aankh Khuli Tu
    Is Mousam Ki Pehli Barish
    Aur Teri Yaadain
    Donon Mil Ker
    Toot Ker Berseen




    I Have Been In Luv And Been "Alone"...I Have Traveled Over Many Miles 2 Find A "Home"

  • #2
    Re: Mousam Ki Pehli Barish

    buth he khooob
    I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

    Comment


    • #3
      Re: Mousam Ki Pehli Barish

      Wah bohat hi achi nazm paish ki hay aap nay, taweel intizaar kay baad mousam ki pehli baarish main ankhoon ka barasna aik bohat hi aam amr hay... khudh ba khudh aankhain gham-e-firaq main behnay lagti hain.... aisa parveen shakir kehti hain :)

      Unki aik choti see nazm hay, chand lafz hain magar baRay dilkash, paish karnay ki jasarat kar raha hoon :)

      Main Nay Socha
      Kay Ussay Phone Karoon
      Magar
      Usko Bhi tou Pata Tha
      Kay Kal
      Mousam Ki Pehli Baarish Thi :)
      sigpic

      Comment

      Working...
      X