Humara Kya Hai K Hum Tu Chirag e Shab Ki Terha
Ager Jale Bhi Tu Bass Itni Roshni Hogi
K Jaise Tundd Andheron Ki Raah Mein Jugnoo
Zara Si Dair Ko Chamke Chamak K Khoo Gaye
Phir Is K Baad Kisi Ko Na Kuch Sujhayi De
Na Shab Katay Na Suraag e Saher Dikhayi De
Humara Kya Hai K Hum Tu Pass e Gubaar e Safer
Ager Chale Bhi Tu Bass Itni Raah Tay Hogi
K Taiz Hawaon Ka Zard Ma'ill Naqsh e Qadam
Zara Si Dair Ko Obhray Oobher K mit Jaye
Phir Us K Baad Na Raasta Na Rahguzaar Mile
Hadd e Nigah Talak Dasht e Bekinaar Mille
Humari Simt Na Dekho K Koi Dair Mein Hum
Qabeela e Dil o Jaan Juda Hone Wale Hain
Base Basaye Hoye Shaher Apni Ankhon K
Misaal e Khana e Veeraan Ujerne Wale Hain
Hawa Ka Yeh Hi Hai Shor Tu Dekhna
Humari Umer K Khaimay okherne Wale Hain
Mohsin Naqvi

Comment