Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Reh Jaye Ga

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Reh Jaye Ga

    Baykeraan Tanhaion Ka Silsila Reh Jaye Ga
    Tere Mere Dermian Bass Ik Hala Reh Jaye ga

    Aks Beh Jayen Gaye Sare Dhoop K Saylaab Mein
    Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaye Ga

    Mujh Ko Mere Humsafer Aisa Safer Derpaish Hai
    Raasta Katt Bhi Gaya Tu Fasla Reh Jaye ga

    Loog So Jayen Gaye Khamoshi Ki Chaader Oorh Ker
    Chand Sone Aangnon Mein Jaagta Reh Jaye ga

    Ju Kabhi Us Ne Parhi Theen Mujh Se Nasir Mang Ker
    Naam Mera Un Kitabon Mein Likha Reh Jaye ga

    I Have Been In Luv And Been "Alone"...I Have Traveled Over Many Miles 2 Find A "Home"

  • #2
    Re: Reh Jaye Ga

    wah wah wah... mehfil loot lee... kaafi ghaour aur tawaju say aap ki post ki hoyee iss ghazal ko paRha aur socha kay kaun sa shaair haasil-e-ghazal hya... yaqeen karain sab hi shaair itnay khoobsurat aur achay hain kay kisi aik ko rate kar kay doosroon kay saath na-insafi hogi... thank you for sharing such a wonderful ghazal with us and keep sharing :) Khush Rahyeh
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Reh Jaye Ga

      thefire aapka bohat shukriya k aapko meri share ki hoi ghazal pasand i.God Bless U!
      I Have Been In Luv And Been "Alone"...I Have Traveled Over Many Miles 2 Find A "Home"

      Comment

      Working...
      X