Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

saiyan zaat adhoori hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • saiyan zaat adhoori hai

    Saiyan zaat adhoori hai


    Saiyan zaat adhoori hai, Saiyan baat adhoori hai
    Saiyan raat adhoori hai, Saiyan maat adhoori hai
    Dushman chaukanna hai laikan, Saiyan ghaat adhori hai


    Saiyan ranj malal bohat, Deewane be haal bohat
    Qadam qadam per jaal bohat, Pyar muhabbat kaal bohat
    Aur isi aalam mein saiyan, Guzar gaye hain saal bohat


    Saiyan har su dard bohat, Mausam mausam sard bohat
    Rasta rasta gard bohat., Chehra chehra zard bohat
    Aur sitam dhane ki khatar, Tera ik ik fard bohat


    Saiyan tere shehar bohat, Gali gali mein zehar bohat
    Khof zada hai dehar bohat, Us pe tera qehar bohat
    Kali raatein itni kyun, Hum ko ik hi pehar bohat


    Saiyan dil majboor bohat, Ruh bhi choor o choor bohat
    Paishani be noor bohat, Aur lamhe maghroor bohat
    Aisay mushkil aalam mein, Tu bhi hum se door bohat


    Saiyan raahein tang bohat, Dil kam hain aur sang bohat
    Phir bhi tere rang bohat, Khalqat sari dung bohat
    Saiyan tum ko aate hain, Behlane k dhung bohat


    Saiyan mere taare gum, Raat k chand sahare gum
    Saray jaan se pyare gum, Aankhein gum nazare gum
    Rait mein aansu doob gaye, Rakh mein hue sharare gum


    Saiyan rishte toot gaye, Saiyan apne chhoot gaye
    Such gaye aur jhoot gaye, Taiz moqaddar phoot gaye
    Jane kaise dakoo the , Jo lute huon ko loot gaye


    Saiyan tanha shamo mein, Chune gaye hain bamo mein
    Chahat k ilzamo mein, Shamil hue hain ghulamo mein
    Apni zaat na zato mein, Apna naam na namo mein


    Saiyan vairani k sadqe, Apni yazdaani k sadqe
    Jabar e insani k sadqe, Lambi zindani k sadqe
    Saiyan mere ache Saiyan, Apni rehmani k sadqe


    Saiyan mere dard ghata, Saiyan mere zakhm bujha
    Saiyan mere aib mita, Saiyan koi naveed suna
    Itnay kaale mausam mein, Saiyan apna aap dikha


    Saiyan Mere Ache Saiyan, Saiyan Mere Dolay Saiyan
    Saiyan Mere Pyare Saiyan, Saiyan Mere Beebay Saiyan

  • #2
    Re: saiyan zaat adhoori hai

    Bohat khoob kiya kehnay iss nazm kay, aik aik shair aur tasalsul kabhi shikway, kabhi shikayat, kabhi firaq ka tazkara tou kabhi milnay ki khushi, zindagi kay har pehlu ko bakhoobi inn ashaar main qaid kia aap nay niyahat khobsurti aur saleeqay kay saath jis kay liye khusoosi SHUKRIYA ki mustahiq hain.

    Shaaeri main hay dam bohat, paRh paRh kay huway hum gum bohat
    Jis nay ki hay share hum say woh member apna hay mohtaram bohat :)
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: saiyan zaat adhoori hai

      Originally posted by thefire1 View Post
      Bohat khoob kiya kehnay iss nazm kay, aik aik shair aur tasalsul kabhi shikway, kabhi shikayat, kabhi firaq ka tazkara tou kabhi milnay ki khushi, zindagi kay har pehlu ko bakhoobi inn ashaar main qaid kia aap nay niyahat khobsurti aur saleeqay kay saath jis kay liye khusoosi SHUKRIYA ki mustahiq hain.

      Shaaeri main hay dam bohat, paRh paRh kay huway hum gum bohat
      Jis nay ki hay share hum say woh member apna hay mohtaram bohat :)
      thank u par yeh main ne nai likha 372-scare

      Comment


      • #4
        Re: saiyan zaat adhoori hai

        iss say kia farq paRta hay, aap nay hum say itni achi nazm share ki us kay liye aap shukriya ki mustahiq hain.... :)
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: saiyan zaat adhoori hai

          Originally posted by lllife View Post
          Saiyan zaat adhoori hai



          Saiyan zaat adhoori hai, Saiyan baat adhoori hai
          Saiyan raat adhoori hai, Saiyan maat adhoori hai
          Dushman chaukanna hai laikan, Saiyan ghaat adhori hai


          Saiyan ranj malal bohat, Deewane be haal bohat
          Qadam qadam per jaal bohat, Pyar muhabbat kaal bohat
          Aur isi aalam mein saiyan, Guzar gaye hain saal bohat

          Buhat umda :rose
          beautiful rythmic poem....

          Comment


          • #6
            Re: saiyan zaat adhoori hai

            سائیاں ذات ادھوری ہے

            سائیاں ذات ادھوری ہے، سائیاں بات ادھوری ہے
            سائیاں رات ادھوری ہے، سائیاں مات ادھوری ہے
            دشمن چوکنا ہے لیکن، سائیاں گھات ادھوری ہے


            سائیاں رنج ملال بہت، دیوانے بے حال بہت
            قدم قدم پر جال بہت، پیار محبت کال بہت
            اور اس عالم میں سائیاں، گذر گئے ہیں سال بہت


            سائیاں ہر سو درد بہت، موسم موسم سرد بہت
            رستہ رستہ گرد بہت، چہرہ چہرہ زرد بہت
            اور ستم ڈھانے کی خاطر، تیرا اک اک فرد بہت


            سائیاں تیرے شہر بہت، گلی گلی میں زہر بہت
            خوف زدہ ہے دہر بہت، اس پہ تیرا قہر بہت
            کالی راتیں اتنی کیوں، ہم کو اک ہی پہر بہت


            سائیاں دل مجبور بہت، روح بھی چور و چور بہت
            پیشانی بے نور بہت، اور لمحے مغرور بہت
            ایسے مشکل عالم میں، تو بھی ہم سے دور بہت



            سائیاں راہیں تنگ بہت، دل کم ہیں اور سنگ بہت
            پھر بھی تیرے رنگ بہت، خلقت ساری دنگ بہت
            سائیاں تم کو آتے ہے، بہلانے کے ڈھنگ بہت



            سائیاں میرے تارے گم، رات کے چند سہارے گم
            سارے جان سے پیارے گم، آنکھیں گم نظارے گم
            ریت میں آنسو ڈوب گئے، راکھ میں ہوئے شرارے گم



            سائیاں رشتے ٹوٹ گئے، سائیاں اپنے چھوٹ گئے
            سچ گئے اور جھوٹ گئے، تیز مقدر پھوٹ گئے
            جانے کیسے ڈاکو تھے، جو لوٹے ہوئوں کو لوٹ گئے



            سائیاں تنہا شاموں میں، چن گئے ہیں بامو میں
            چاہت کے الزاموں میں، شامل ہوئے ہے غلاموں میں
            اپنی ذات نہ ذاتوں میں، اپنا نام نہ ناموں میں



            سائیاں ویرانی کے صدقے، اپنی یزدانی کے صدقے
            جبر انسانی کے صدقے، لمبی زندانی کے صدقے
            سائیاں میرے اچھے سائیاں، اپنی رحمانی کے صدقے


            سائیاں میرے درد گھٹا، سائیاں میرے زخم بجھا
            سائیاں میرے عیب مٹا، سائیاں کوئی نوید سنا
            اتنے کالے موسم میں، سائیاں اپنا آپ دکھا


            سائیاں میرے اچھے سائیاں، سائیاں میرے ڈولے سائیاں
            سائیاں میرے پیارے سائیاں، سائیاں میرے بیبے سائیاں
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment


            • #7
              Re: saiyan zaat adhoori hai

              excellent sharing lllife .....
              speech less :rose
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • #8
                Re: saiyan zaat adhoori hai

                Khoobsorat intakhaab!!!*****
                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment


                • #9
                  Re: saiyan zaat adhoori hai

                  Originally posted by thefire1 View Post
                  iss say kia farq paRta hay, aap nay hum say itni achi nazm share ki us kay liye aap shukriya ki mustahiq hain.... :)
                  thanks :D:

                  Originally posted by Mr.Khan View Post
                  Buhat umda :rose
                  beautiful rythmic poem....
                  thankuuuuu

                  Originally posted by saraah View Post
                  excellent sharing lllife .....
                  speech less :rose
                  thanks sarah urdu mein share karne k liye :phool:

                  Originally posted by khan khan View Post
                  Khoobsorat intakhaab!!!*****
                  thanks

                  Comment


                  • #10
                    Re: saiyan zaat adhoori hai

                    bht umdah sharng

                    aap k bht achy zouq ki akasi karti hui aik bht deep khoobsurat nazm

                    mazeed k aintzaar rahy ga

                    Comment


                    • #11
                      Re: saiyan zaat adhoori hai

                      Originally posted by yamshoo View Post
                      bht umdah sharng

                      aap k bht achy zouq ki akasi karti hui aik bht deep khoobsurat nazm

                      mazeed k aintzaar rahy ga
                      thank uu :phool:

                      Comment


                      • #12
                        Re: saiyan zaat adhoori hai

                        Really beautiful poetry u shared

                        Comment

                        Working...
                        X