Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mujhe Jeeney Ki Umeed Dobara Dy Do‏

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mujhe Jeeney Ki Umeed Dobara Dy Do‏

    Mujhe jeeney ki umeed dobara dy do
    Meri doobti kashti ko kinara dy do

    Main dard ke sahil pe tanha khara hoon
    Phir aa kar apni baahon ka sahara dy do

    Tera daaman to bhara hai sitaron se
    Mujhe sadqey mein ek sitara dy do

    Mere angan mein aaj andhera hai bohat
    Meri dehleez ko phir apna nazara dy do

    Chand lamhey tujhe dekhney ki hasrat hai bas
    Kab maine kaha ke waqt apna sara dy do

    Dekh to sahi tere dar pe aaya hoon main
    Mujhe phir koi tasalli koi ishara dy do

  • #2
    Re: Mujhe Jeeney Ki Umeed Dobara Dy Do‏

    so nice....................

    Comment


    • #3
      Re: Mujhe Jeeney Ki Umeed Dobara Dy Do‏

      Bohat khoob Humsafar, bohat hi achi ghazal hay!

      Aap kay aakhri shair per aik bohat hi acha shaair yaad aaraha hay paish karnay ki jasaarat kar raha hoon...

      Aaaya Hun Teray Darr Par, Ek Baar Idhar Dekho
      Pal Bhar Ka Main Hoon Mahman, Sarkar Idhar Dekho
      Muddat Ki Khuwahish Hay, Pal Bhar Ki Tamanna Hay
      Ek Baar Say Kia Hoga, Har Baar Idhar Dekho......!
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Mujhe Jeeney Ki Umeed Dobara Dy Do‏

        Bohat khoob!!!
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment


        • #5
          Re: Mujhe Jeeney Ki Umeed Dobara Dy Do‏

          bht umdah sharng

          acha antikhab

          Comment


          • #6
            Re: Mujhe Jeeney Ki Umeed Dobara Dy Do‏

            Thanks 2 all of u

            Comment

            Working...
            X