Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bazm-e-Ummid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Bazm-e-Ummid

    Originally posted by ummid
    See ke lab ek qayaamat si uthaa di jaey........
    Reh ke khamosh zara dhoom macha di jaey.

    Jis ko dekho wohi sehra mein chala aata hay
    Rastay mein koi dewaar uthaa di jaey...........
    :thmbup: cool ....thanks for sharing :phool:
    sigpic

    Comment


    • Re: Bazm-e-Ummid

      Originally posted by Eshaa_wellwisher
      :thmbup: cool ....thanks for sharing :phool:
      Thank you Esha dear!!:phool:

      Comment


      • Re: Bazm-e-Ummid

        this is a beautiful collection,
        mein ne aap ki sari collection read ki hai aur bohat pasand aayi hai.
        mein is mein se kuch kalam "aaj ka kalam" mein compose karun ga, aap ki ijazat se?
        ALLAH aap ko kush rakhe.


        Comment


        • Re: Bazm-e-Ummid

          Originally posted by shakeeel
          this is a beautiful collection,
          mein ne aap ki sari collection read ki hai aur bohat pasand aayi hai.
          mein is mein se kuch kalam "aaj ka kalam" mein compose karun ga, aap ki ijazat se?
          ALLAH aap ko kush rakhe.
          Thank you bhai....:phool:
          Aap ko ijazat ki zarorat nahi hai....:na:
          Aap jo chahe karsakte hain is collection ke saath.....:shh:
          khush rahiye..:)

          Comment


          • Re: Bazm-e-Ummid

            tumhaare shaiher kaa mausam baraa suhaanaa lage....
            main ek shaam churaa loon, agar buraa na lage ...

            tumhaare bus main agar ho to bhool jaao hamain..
            tumhain bhulane main shaayad mujhe zamaanaa lage.

            hamaare pyaar se jalne lagii hai ye duniyaa....
            duaa karo kisii dushman ki bad_duaa na lage.

            na jaane kyaa hai us kii bebaak aankhon main...
            vo moonh chhupaa ke jaaye bhii to bevafaa na lage.

            jo Doobnaa hai to itne sukoon se Doobo....
            ke aas paas kii lahron ko bhii pataa na lage.

            ho jis adaa se mere saath bewafa'iy kar...
            ke tere baad mujhe koi bewafaa na lage..

            vo phool jo mere daaman se ho gaye mansoob
            Khudaa kare unhain baazaar kii havaa na lage

            tum aankh moond ke pii jaao zindagii 'Qaiser'...
            ke ek ghoont main shaayad ye bad'mazaa na lage.

            Last edited by ummid; 3 April 2006, 04:22.

            Comment


            • Re: Bazm-e-Ummid

              tumhaare shaiher kaa mausam baraa suhaanaa lage....
              main ek shaam churaa loon, agar buraa na lage ...

              bohat umdah ghazal hai ummid .. Thanks for sharing:phool:
              sigpic

              Comment


              • Re: Bazm-e-Ummid

                Originally posted by Jhumroo
                waah Ummid, waah :rose bahot hii Khoob Ghazal paRhvaaii hai aapne hameN. ek ek she'r meN taaseer-e-akseer hai...davaa-e-dard-e-moHabbat kii daastaan-e-'azeez hai...shulria share karne ke liye ummid...KHush rahiiye, shaad tahiiye aur aabaad rahiiye. :rose
                Thank you sooooooooooooo much...:phool:
                waise ek ghazal kya padhai aap ne itni duwaien de di...:)
                ager pura deewan padha dete tu aap tu "BABA" ban jate....:lol

                Comment


                • Re: Bazm-e-Ummid

                  Originally posted by Eshaa_wellwisher
                  tumhaare shaiher kaa mausam baraa suhaanaa lage....
                  main ek shaam churaa loon, agar buraa na lage ...

                  bohat umdah ghazal hai ummid .. Thanks for sharing:phool:
                  :phool:

                  Comment


                  • Re: Bazm-e-Ummid

                    aey umer-e-rawan aa pass mere.....

                    aik raz ki baat batani hai....

                    aik khwab sunana hai tujh ko....

                    aik tees si dil k ander hai.....

                    aik rang dikhana hai tujh ko....

                    aey umer-e-rawan aa pass merey....

                    ye neem shabi ki khamoshi...

                    ye neend ki palkein bojhal si..

                    ye parda-e-der,

                    ye zehar nazer,

                    aik khof sa zehan-o-dil main hai....

                    tanhai meri chupkey say kahe,

                    aey umer-e-rawan aa pass merey....

                    tujh say tu faqat kehna hai mujhey,

                    raftar ko apni dheema rakh...

                    milnay ki gharri jo thehri hai...

                    do char sadi ya ab k bars....

                    "AIK SHAKHS SAY MILNA HAY MUJH KO"

                    aey umer-e-rawan ...

                    Comment


                    • Re: Bazm-e-Ummid

                      Bohat khoobsurat behna bohat umdah - keep it up - on a higher note :D
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: Bazm-e-Ummid

                        Originally posted by Masood
                        Bohat khoobsurat behna bohat umdah - keep it up - on a higher note :D
                        Aap ki "higher note" wali baat ke jawab mein ek aur nazam...:)
                        shaid aap ko pasand aye..

                        "kab kaun kisi ka hota hai"

                        kab kaun kisi ka hota hai.....

                        sab jhootay rishtay naatay hain...

                        sab dil rakhnay ki baatain hain....

                        sab aslee roop chupatay hain...

                        ikhlaaq say khali log yahan....

                        lafzon key teer chalatey hain..

                        Aik baar nigaahon mein aa ker...

                        phir saari umer rulatay hain..

                        lo jis nay humain hain ashk diye..

                        ab us ko bhool hi jaatay hain!!!

                        Comment


                        • Re: muhhabbat

                          Originally posted by ummid
                          :rose jab kabhi khwaab ki ummid bandha karti hai,
                          neend aankhon mein pareshan phira karti hai.
                          yaad rakhna hi muhabbat mein nahi hai sab kuch,
                          bhool jana bhi badi baat hoa karti hai!:rose
                          .................................................. ....
                          Click image for larger version

Name:	kamsin.jpg
Views:	1
Size:	37.1 KB
ID:	2353729
                          Dheeray Dheeray Machal Aye Dill-e-Beqarar

                          Comment


                          • Re: muhhabbat

                            Originally posted by jugnoo217
                            .................................................. ....
                            [ATTACH]12843[/ATTACH]
                            :phool:

                            Comment


                            • Re: Bazm-e-Ummid

                              aslaam_u_alikam

                              wonderful collection

                              Comment


                              • Re: Bazm-e-Ummid


                                Manzeelein

                                "Ajnabi si rahon ka......


                                Ajnabi musafir aik..........


                                Mujh se pooch baitha hai.....


                                rasta bata do gye???????


                                ajnabi si rahon ke....


                                ajnabi musafir sun.....


                                rasta koi bhi ho...


                                wasta koi bhi ho......


                                manzalein nahi miltein.......


                                manzalein to dhoka hain.....


                                manzalein jo mil jayein.....



                                tu justajoo nahi rehti.....


                                zindagi ko jeene ki."






                                Comment

                                Working...
                                X