Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bazm-e-Ummid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: mohabbat ik nazam.............

    Originally posted by Me Here
    Hmmm
    buhat sweet c nicooo c poem hai Ummid sis!:rose
    me ko buhat acchi lagi:wk
    waiting 4 moore!:shh:
    :rose Thank you Me_Here:rose

    Comment


    • Re: mohabbat ik nazam.............

      Originally posted by ummid
      :rose Thank you Me_Here:rose
      np.com sis :wk

      Comment


      • Re: ek ghazal

        Assalaam-0-Aliakom:rose
        nicee one
        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • Re: Bazm-e-Ummid

          tumhaari qabr par.....
          ~~ by - NIDA FAZLI~~

          tumhaari qabr par main...

          faatehaa padhne nahiiN aayaa,


          tumhaari maut kii sachchii Khabar

          jisne udhaii thii, wo jhuutaa thaa,

          wo tum kab the?

          koi suukhaa huaa pattaa, havaa meN gir ke TuuTaa thaa.

          Comment


          • Re: Bazm-e-Ummid


            Hath ki lakeroon main,

            Kiya talash karte ho?

            In fuzol batoon main

            Kis liyen ulajhte ho,

            Jin ko milna hota hai,

            Bin lakeer dekhe hi,

            Zindagee ki rahoon per,

            Sath sath chalta hai,

            Phir kab woh bichartay hain,

            Jo nahi muqadar main,

            Kab woh humay milta hai,

            Kab woh sath chalta hai,

            Hath ki lakiroon main

            Kiya talash karte ho?????

            Comment


            • Re: muhhabbat

              Originally posted by ummid
              :rose jab kabhi khwaab ki ummid bandha karti hai,
              neend aankhon mein pareshan phira karti hai.
              yaad rakhna hi muhabbat mein nahi hai sab kuch,
              bhool jana bhi badi baat hoa karti hai!:rose

              :na:

              acha hai buht

              lakin batao muhabbat main really bhol jana bhi acha ho sakta hai???

              is main yeh baat tu nahin kehi gai keh ranjishoon ki baaton ko bhol jana chahiyee....
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • Re: Bazm-e-Ummid

                Originally posted by ummid
                Hath ki lakeroon main,

                Kiya talash karte ho?

                In fuzol batoon main

                Kis liyen ulajhte ho,

                Jin ko milna hota hai,

                Bin lakeer dekhe hi,

                Zindagee ki rahoon per,

                Sath sath chalta hai,

                Phir kab woh bichartay hain,

                Jo nahi muqadar main,

                Kab woh humay milta hai,

                Kab woh sath chalta hai,

                Hath ki lakiroon main

                Kiya talash karte ho?????
                Assalam-0-Alikom:rose

                niceeeeeeeeeeeeee
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment


                • Re: muhhabbat

                  Originally posted by Rida
                  :na:

                  acha hai buht

                  lakin batao muhabbat main really bhol jana bhi acha ho sakta hai???

                  is main yeh baat tu nahin kehi gai keh ranjishoon ki baaton ko bhol jana chahiyee....
                  han!! muhabbat jub kamyaab na ho tu yaadon ke saahare jeena na-mumkin hi nahi balke aziyat-naak bhi ho jata hai....
                  isi liye ager koi "kuch" bhool jaye tu accha hi hai na......
                  galib ne kaha tha:
                  yaad-e-maazi azab hai yarub
                  cheen le mujh se hafeza mera.
                  any ways thanx for liking.... :rose

                  Comment


                  • Re: Bazm-e-Ummid

                    Originally posted by Jhumroo
                    hmmm...:mm: yeh meHfil merii nazroN se ojhal kaise rahii...Khair...der aayad, durust aayad :rose
                    yeh mehfil ummid ke liye masood bhai ne banayi thi...:phool:

                    Comment


                    • Re: Bazm-e-Ummid

                      Baat to buhut zabardast kahi hai
                      really main ny aaj hee dekha hay

                      Comment


                      • Re: Bazm-e-Ummid

                        Musafir tu bichadtay hain....

                        rafaqat kab badalti hay....

                        mohabbat zinda rehti hay...

                        mohabbat kab badalti hay...

                        tumhi ko chahtay hain hum....

                        tumhi say pyaar kartay hain....

                        yahi barsoon say aadat hay......

                        aur aadat kab badalti hay....

                        usay chaha usay pooja.....

                        yahi touqeer hay apni.....

                        hamein gumrah mat samjho....

                        ibbadat kab badalti hai.

                        Comment


                        • Re: Bazm-e-Ummid

                          phool ko kabhi ghor se dekha hai tum ne..

                          kis tarah khilta hai...

                          kis tarah murjhata hai...

                          khushboo deta hai..

                          muskurata hai...

                          doosron ko khushian dene k liey..

                          khood toot jata hai....

                          gale ka haar banta hai...

                          hasraton main gungunata hai..

                          aur mahabaton k waste....

                          kitabon main sookh jata hai.

                          Comment


                          • Re: Bazm-e-Ummid

                            beautifull... ummid ji:phool:
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment


                            • Re: Bazm-e-Ummid

                              Originally posted by Hala
                              beautifull... ummid ji:phool:

                              thank you hala dear!!!:phool:

                              Comment


                              • Re: Bazm-e-Ummid

                                Chalo Ab Ke Mohabbat Mein Bas Yahi Ek Kaam Karte Hain.
                                Sakoon Aankhon Mein Bhar Ke Zindagi Se Baat Karte Hain.

                                Bohat Banjar Se Lamhe Jee Liye Dukh Pee Liye Ham Ne,
                                Zara ab Muskura Ke Shehr-e-Dil Aabaad Karte Hain.

                                Bohat Se Khuwab Muthi Mein Liye Ummid Ki Rutt Mein,
                                Muqaddar Ki Katha Padh Kar Ham Apni Chaal Chalte Hain.

                                Koi Dustaq si Hai Roshan Jabeen Khuwahish Ki Rahon Mein,
                                Hawaon Ki Zubaan Khushbu se Sun Kar Khuwaab Bunte Hain.

                                Bharam Rakh Lete Hain Dushwariyon Ka Es Tarha Ke Ab....
                                Bacha Ke Khud Ko, Tere Dheyaan Ke Hamrah Chalte Hain.
                                Last edited by ummid; 13 March 2006, 04:33.

                                Comment

                                Working...
                                X