main ne poochaa pehla patthar mujh par kaun uThaayegaa
aai ik aavaaz ki tuu jis kaa mohsin kehalaayegaa
poochh sake to poochhe koi rooth ke jaane walon se
roshaniyon ko mere ghar kaa rastaa kaun bataayegaa
logo mere saath chalo tum jo kuch hai woh aage hai
peechhe murr kar dekhane wala patthar ka ho jaayegaa
din main hansakar milne wale chehre saaf bataate hain
ek bhayaanak sapanaa mujh ko saari raat daraayegaa
mere baad vafaa kaa dhokaa aur kisii se mat karna
gaalii degii duniyaa tujh ko sar mera jhuk jaayegaa
sookh gai jab in aankhon main pyaar kii niilii jhiil 'Qateel'
tere dard kaa zard samandar kaahe shor machaayegaa

Comment