Kabhi Yaad Aao To Is Tarah
Ke Lahoo Ki Saaari Tamaazatain
Tumhain Dhoop Dhoop Sumaitt Lein
Tumhain Rang Rang Nikhaar Dein
Tumhain Hurf Hurf Mein Soch Lein
Tumhain Dekhney Ka Jo Shoq Ho
To Diyaar-e-Hijr Ki Tergi!
Komuzaah Ki Nok Se Noch Lein!!
Kabhi Yaad Aao To Is Tarah
Ke Dil-o-Nazar Mein Utar Sako
Kabhi Had Habs-e-JunooN Barhey
To Hawaas Ban Ke Bikhar Sako
Kabhi Khil Sako Shab-e-Wasl Mein
Kabhi Khoon-e-Dil Mein Sanwar Sako
Sar-e-Reh Guzer Jo Milo .... Kabhi
Na Thehr Sako .... Na Guzer Sako!
Mera Dard Phir Se Ghazal Buney
Kabhi Gungunaao.. To Is Tarah
Merey Zakhm Phir Se Gulaab Hon
Kabhi Muskuraao ... To Is Tarah
Meri DharhkanaiN Bhi Larz Uthain
Kabhi Chott Khaao ... To Is Tarah
Jo Nahee To Phir Barhey Shoq Se
Sabhi Raabtey Sabhi Zaabtey
Kabhi Dhoop Chaa'yon Mein Torh Do
Na Shikast-e-Dil Ka Sitam Saho
Na Suno Kisi Ka Azaab-e-JaaN
Na Kisi Se Apni Khalish Kaho
Yun Hi Khush Phiro, Yun Hi Khush Raho,
Na Ujarh Sakain Na Sanwar Sakain
Kabhi Dil Dukhaao ... To Is Tarah
Na Simatt Sakain Na Bikhar Sakain
Kabhi Bhool Jao ... To Is Tarah
Kisi Tor JaaN Se Guzar Sakain
Kabhi Yaad Aao ... To Is Tarah
__________________
Comment