Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Wafa main ab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Wafa main ab



    Wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
    Wo such kahey na kahey aitbaar karna hai

    Yeh tujh ko jaagtey rehnay ka shauq kab say hua
    Mujhey toh khair tera intezaa karna hai

    Hawa kay zadd mai jalaaney hain ansooon kay chiraagh
    Kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hai

    Woh mukura kay nayee waswason mai daal gaya
    Khayal tha keh usay sharmsaar karna hai

    Misaal-e-shaakh-e-barehna khizaan ki rut mai kabhi
    Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hai

    Tairay firaaq mai din kis tarhan kattey apnay
    Keh shughal-e-shab toh sitaarey shumaar karna hai

    Chaloo yeh ashq hi moti samajh kar baich ayeen
    Kisi tarhan toh humein roz gaar karna hai

    Kabhi toh dil mai chupay zakhm bhi numayan ho
    Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

    Khuda khabar yeh koi zidd kay shauq hai "Mohsin"
    Khud apni jaan kay dushman say pyar karna hai


    sigpic

  • #2
    Re: Wafa main ab

    nice1
    Need a siggi:hii:

    Comment


    • #3
      Re: Wafa main ab

      beautiful kamal hai
      I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

      Comment


      • #4
        Re: Wafa main ab

        Wah bohat khoob, maqtaa tou bas qatal karnay kay liye kaafi hay, really nice

        Khuda khabar yeh koi zidd kay shauq hai "Mohsin"
        Khud apni jaan kay dushman say pyar karna hai
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Wafa main ab

          Bohat Khoob

          Comment

          Working...
          X