Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kaabe se but-kade se

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kaabe se but-kade se

    kaabe se but-kade se kabhii bazm-e-yaar se
    aavaaz de rahaa huun tujhe har muqaam se


    naa-aashnaa hai aaj vahii mere naam se
    duniyaa pukaaratii thii jinhen mere naam se


    uff ye shab-e-firaaq ke maaron kii beKhudii
    Khud hii bujhaa diyaa hai charaagon ko shaam se


    dil main fareb lab pe tabassum nazar main pyaar
    luuTe gaye 'Shamim' baray ehatimaam se


    (shamim jaipuri)

  • #2
    Re: kaabe se but-kade se

    Bohat umdah!!!
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • #3
      Re: kaabe se but-kade se

      thanx khan khan bhai

      Comment

      Working...
      X