Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ba Hazoor Sarwar-e-Kainat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ba Hazoor Sarwar-e-Kainat

    mere rasool k nisbat tujay ujaloon say
    main tera zikar karon subah k hawalon say
    nah meri naat ki muhtaj hai zaat teri
    nah teri madah mumkin hai mere khayalon say
    to roshni ka payamber hai aur meri tareekh
    bhari pari hai shab-e-zulm ki misalon say
    tera pyam muhabbat tha aur mere yahan
    dil o damagh hain pur nafraton k jalon say
    yeh iftikhar tera k mere arsh-e-maqam
    to humkalam hai zameen walon say
    magar yeh mufti-o-wa'iz yeh muhtasib yeh faqeeh
    jo mutabar hain faqat maslehat ki chaalon say
    khuda k naam ko bechen gay magar khuda nah karay
    asar pazeer hoon khalq-e-khuda k naloon say
    nah meri ankh main kajal nah maskhbu hai libas
    k mere dil ka hai rishta kharab haloon say
    hai tarsh ru meri baton say sahib-e-minber
    khateeb-e-sheher hai barham mere sawalon say
    mere zameer nay qabeel ko nahi bakhsha
    main kesay sulah karloon qatal karnay waloon say
    main be basat sa shair hoon per karam tera
    k ba-sharf hoon qaba-o-kalah waloon say

  • #2
    Re: Ba Hazoor Sarwar-e-Kainat

    Jazaak Allah.
    khush rahain.
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • #3
      Re: Ba Hazoor Sarwar-e-Kainat

      bhut bhut shukria khan khan bhai

      Comment

      Working...
      X