ghamzada nahi hota k ishara nahi hota
ankh un say jo milti hai to kya kya nahi hota
jalwa nah ho mani ka to sorat ka asar kya
bulbul gul-e-tasveer ka sheda nahi hota
Allah bachaey marz-e-ishq say dil ko
suntay hain k yeh aarza acha nahi hota
tashbeeh tere chehray ko kya doon gul-e-tar say
hota hai shagufta magar itna nahi hota
hum aah b kartay hain to ho jatay hain badnam
woh qatal b kartay hain to charcha nahi hota
(Akbar Allah Abadi)

Comment